Jab chali thandi hawa

Jab chali thandi hawa, jab uthhi kaali ghata
Mujhko aye jaan-e-wafa tum yaad aaye
Jab chali thandi hawa, jab uthhi kaali ghata
Mujhko aye jaan-e-wafa tum yaad aaye

Zindagi ki daastaan, chaahe kitni ho haseen
Bin tumhaare kuchh nahin
Bin tumhaare kuchh nahin
Kya mazaa aata sanam, aaj bhoole se kahin
Tum bhi aa jaate yehin
Tum bhi aa jaate yehin
Yeh bahaaren yeh fiza, dekhkar o dilruba
Jaane kya dil ko hua, tum yaad aaye

Jab chali thandi hawa, jab uthhi kaali ghata
Mujhko aye jaan-e-wafa tum yaad aaye

Yeh nazaare yeh sama aur phir itne jawaan
Haaye re yeh mastiyaan
Haaye re yeh mastiyaan
Aisa lagta hain mujhe jaise tum nazdik ho
Iss chaman se jaan-e-jaan
Iss chaman se jaan-e-jaan
Sun ke pi pi ki sada, dil dhadkta hain mera
Aaj pehle se siwa, tum yaad aaye

Jab chali thandi hawa, jab uthhi kaali ghata
Mujhko aye jaan-e-wafa tum yaad aaye
Jab chali thandi hawa, jab uthhi kaali ghata
Mujhko aye jaan-e-wafa tum yaad aaye

Movie: Do Badan (1966)
Director: Raj Khosla
Singer: Asha Bhosle
Lyricist: Shakeel Badayuni
Music Composer: Ravi
Another lovely number that I love listening to. I am not really fond of the movie, but I love Asha Bhosle’s voice. The lyrics are good as is the music. But Asha Bhosle’s voice is why I keep coming back to this one. The movie got Ravi and Badayuni nominations for best music director and best lyricist but it was Lata Mangeshkar’s Lo aa gayi unki yaad from this movie that was nominated for best playback singer. I don’t deny that Lo aa gayi… is a lovely number but I prefer this one. ~ R

Comments