Yeh tera ghar yeh mera ghar

Yeh tera ghar yeh mera ghar, kissi ko dekhna ho gar
Toh pehle aake maang le, meri nazar teri nazar
Yeh tera ghar yeh mera ghar, kissi ko dekhna ho gar
Toh pehle aake maang le, meri nazar teri nazar
Yeh tera ghar yeh mera ghar, yeh ghar bahut haseen hain
Yeh ghar bahut haseen hain, yeh ghar bahut haseen hain

Na baadalon ki chhaanv mein, na chaandni ke gaon mein
Na phool jaise raaste bane hain isske vaaste
Magar yeh ghar ajeeb hain, zameen ke kareeb hain
Yeh eent patharon ka ghar, humaari hasraton ka ghar
Yeh tera ghar yeh mera ghar, yeh ghar bahut haseen hain
Yeh ghar bahut haseen hain, yeh ghar bahut haseen hain

Jo chaandni nahin toh kya, ki roshni hain pyaar ki
Dilon ke phool khil gaye, toh fikr kya bahaar ki
Humaare ghar na aayegi, kabhi khushi udhar ki
Humaari raahton ka ghar, humaari chaahton ka ghar
Yeh tera ghar yeh mera ghar, yeh ghar bahut haseen hain
Yeh ghar bahut haseen hain, yeh ghar bahut haseen hain

Yahan mehak wafaon ki, mohabbaton ka rang hain
Yeh ghar tumhaara khwaab hain, yeh ghar meri umang hain
Na aarzoo pe qaid hain, na hausle pe jung hain
Humaare hauslon ka ghar, humaari himmaton ka ghar
Yeh tera ghar yeh mera ghar, kissi ko dekhna ho gar
Toh pehle aake maang le, meri nazar teri nazar
Yeh tera ghar yeh mera ghar, yeh ghar bahut haseen hain
Yeh ghar bahut haseen hain, yeh ghar bahut haseen hain

Movie: Saath Saath (1982)
Director: Raman Kumar
Singers: Jagjit Singh, Chitra Singh
Lyricist: Javed Akhtar
Music Composer: Kuldip Singh
My favourite from this movie is already featured on our blog. This one I don’t love as much but I still like listening to it. It’s sweet, gives me a vibe of ‘Do deewane shehar mein’, and of course, I find the leading pair eminently watchable. Enjoy! ~ R

Comments