Insaaf ka mandir hai yeh

Version 1

Insaaf ka mandir hai yeh bhagwan ka ghar hai
Kehna hai jo keh de, tujhe kis baat ka dar hai
Hai khot tere man mein jo bhagwan se hai door
Hai khot tere man mein jo bhagwan se hai door
Hai paaon tere
Hai paaon tere phir bhi tu aane se hai majboor
Aane se hai majboor
Himmat hai toh aa ja yeh bhalayi ki dagar hai
Insaaf ka mandir hai yeh bhagwan ka ghar hai

Dukh deke jo dukhiya se na insaaf karega
Bhagwan bhi usko na kabhi maaf karega
Yeh soch le
Yeh soch le
Yeh soch le har baat ki daata ko khabar hai
Daata ko khabar hai
Himmat hai toh aa ja yeh bhalayi ki dagar hai
Insaaf ka mandir hai yeh bhagwan ka ghar hai


——————————-

Version 2

Insaaf ka mandir hai yeh bhagwan ka ghar hai
Kehna hai jo keh de tujhe kis baat ka dar hai
Hai paas tere jiski amaanat usse de de
Hai paas tere jiski amaanat usse de de
Nirdhan bhi hai
Nirdhan bhi hai insaan mohabbat usse de de
Mohabbat usse de de
Jis dhar pe sabhi ek hain bande yeh woh dhar hai
Insaaf ka mandir hai yeh bhagwan ka ghar hai

Mayoos na ho haar ke taqdeer ki baazi
Pyaara hai woh gham jis mein ho bhagwan bhi raazi
Dukh dard mile
Dukh dard mile jis mein wohi pyaar amar hai
Wohi pyaar amar hai
Yeh soch le har baat ki daata ko khabar hai
Insaaf ka mandir hai yeh bhagwan ka ghar hai
Insaaf ka mandir hai yeh bhagwan ka ghar hai


Movie: Amar (1954)
Director: Mehboob Khan
Singer: Mohammed Rafi
Lyricist: Shakeel Badayuni
Music Composer: Naushad Ali
 
This is yet another song from Amar. It has two versions, both of which were sung by Mohammed Rafi. It was created by the same team that made the famous bhajan Man tadpat Hari darshan ko aaj from Baiju Bawra.
I chose it because I remembered it often when I recently went through trying times. I found solace in 'har baat ki daata ko khabar hai'. Hopefully, you will also find some, wherever you are and whatever you may be going through! ~ S


Comments