Humein toh loot liya milke husnwalon ne

Humein toh loot liya milke husnwalon ne
Kaale kaale baalon ne, gore gore gaalon ne
Humein toh loot liya milke husnwalon ne
Kaale kaale baalon ne, gore gore gaalon ne

Nazar mein shokiyaan aur bachpana shararat mein
Adaayen dekhke hum phans gaye mohabbat mein
Hum apni jaan se jaayenge jinki ulfat mein
Yakin hai ki na aayenge woh hi maiyyat mein
Khuda sawaal karega agar qayamat mein
Toh hum bhi keh denge hum lut gaye sharafat mein

Humein toh loot liya milke husnwalon ne
Kaale kaale baalon ne, gore gore gaalon ne
Humein toh loot liya milke husnwalon ne
Kaale kaale baalon ne, gore gore gaalon ne

Wahin wahin pe qayamat ho woh jidhar jaayein
Jhuki jhuki huyi nazron se kaam kar jaayen
Tadapta chhod dein raste mein aur guzar jaayen
Sitam toh yeh hai ke dil le lein aur mukar jaayen
Samajh mein kuchh nahin aata ki hum kidhar jaayen
Yahi iraada hai yeh kah ke hum toh mar jaayen

Humein toh loot liya milke husnwalon ne
Kaale kaale baalon ne, gore gore gaalon ne
Humein toh loot liya milke husnwalon ne
Kaale kaale baalon ne, gore gore gaalon ne

Wafa ke naam pe maara hai bewafaon ne
Ke dam bhi humko na lene diya jafaon ne
Khuda bhula diya in husn ke khudaon ne
Mita ke chhod diya ishq ki khataon ne
Udaaye hosh kabhi zulf ki hawaon ne
Haya-e-naaz ne loota kabhi adaaon ne

Humein toh loot liya milke husnwalon ne
Kaale kaale baalon ne, gore gore gaalon ne
Humein toh loot liya milke husnwalon ne
Kaale kaale baalon ne, gore gore gaalon ne

Humein toh loot liya milke husn walon ne
Kaale kaale baalon ne, gore gore gaalon ne
Humein toh loot liya milke husn walon ne
Kaale kaale baalon ne, gore gore gaalon ne

Hazaron lut gaye nazaron ke ik ishare par
Hazaron beh gaye toofan banke dhaare par
Na inke waadon ka kuchh theek hai, na baaton ka
Fasana hota hai inka hazaar raaton ka
Bahot haseen hai waise toh bholpan inka
Bhara hua hai magar zehar se badan inka
Yeh jisko kaat lein paani woh pee nahi sakta
Dava toh kya hai dua se bhi jee nahin sakta
Inhee ke maare hue hum bhi hain zamane mein
Hain chaar lafz mohabbat ke is fasane mein

Humein toh loot liya milke husnwalon ne
Kaale kaale baalon ne, gore gore gaalon ne
Humein toh loot liya milke husnwalon ne
Kaale kaale baalon ne, gore gore gaalon ne

Zamana inko samajhta hai nek aur masoom
Magar yeh kaise hain, kya hain kisi ko kya maloom
Inhe na teer, na talvaar ki zaroorat hai
Shikaar karne ko kaafi nigah-e-ulfat hain
Haseen chaal se dil paaymal karte hain
Nazar se karte hain baatein kamaal karte hain
Har ek baat mein matlab hazaar hote hain
Yeh seedhe saadhe bade hoshiyaar hote hain
Kuda bachaye haseeno ki tez chaalon se
Pade kisi ka bhi paala na husnwaalon se

Humein toh loot liya milke husnwalon ne
Kaale kaale baalon ne, gore gore gaalon ne
Humein toh loot liya milke husnwalon ne
Kaale kaale baalon ne, gore gore gaalon ne

Husn waalon mein mohabbat ki kami hoti hai
Chaahne waalon ki taqdeer buri hoti hai
Unki baaton mein banawat hi banawat dekhi
Sharm aankhon mein, nigaahon mein lagaawat dekhi
Aag pahle toh mohabbat ki laga dete hain
Apne rukhsar ka deewana bana dete hain
Dosti kar ke phir anjaan nazar aate hain
Sach toh yeh hai ki beimaan nazar aate hain
Mautein kam nahin duniya mein mohabbat inki
Zindagi hoti barbaad badaulat inki
Din baharon ke guzarte hain magar mar mar ke
Lut gaye hum toh haseeno pe bharosa kar ke

Humein toh loot liya milke husnwalon ne
Kaale kaale baalon ne, gore gore gaalon ne
Humein toh loot liya milke husnwalon ne
Kaale kaale baalon ne, gore gore gaalon ne

Movie: Al Hilal (1958)
Director: Ram Kumar
Singer: Ismail Azad Qawwal
Lyricist: Shevan Rizvi
Music Composer: Bulo C Rani



This song is yet another iconic Qawwali, rendered beautifully by a group of singers led by Ismail Azad Qawwal. It is also probably the only reason why the otherwise lacklustre movie Al Hilal is still remembered. 
Not much information is available on its lyricist, Shevan Rizvi. It is sad because he has written memorable lyrics for many movies, such as Humsaya, Ek Musafir Ek Hasina, and Dil Aur Mohabbat.
However, this is a happy song for me—even the actors seem to have had a lot of fun performing it! Although it was Rizvi’s death anniversary on May 28, let’s remember him with appreciation for the joy this song provides. ~ S


Comments