Male version
Mere mehboob tujhe meri mohabbat ki kasam

Phir mujhe nargisi ankhon ka sahaara de de
Mera khoya hua rangeen nazaara de de

Bhool sakti nahin ankhe wo suhaana manzar
Jab tera husn mere ishk se takraaya tha
Aur phir raah mein bikhre the hazaaron nagme
Main woh nagme teri awaaz ko de aaya tha
Saaz-e-dil ko unhi geeton ka sahaara de de

Yaad hai mujhko meri umr ki pehli woh ghadi
Teri ankhon se koi jaam piya tha maine
Meri rag rag mein koi barq si leharaayi thi
Jab tere marmari haathon ko chhua tha maine
Aa mujhe phir unhi haathon ka sahaara de de

Maine ek baar teri ek jhalak dekhi hai
Meri hazrat hai ke main phir tera deedar karoon
Tere saaye ko samajh kar main haseen Taj Mahal
Chandni raat mein nazron se tujhe pyaar karoon
Apni mehki huyi zulfon ka sahaara de de

Dhoondhta hoon tujhe har raah mein har mehfil mein
Thak gaye hai mere majboor tamanna ke kadam
Aaj ka din meri umeed ka hai akhari din
Kal na jaane main kahan aur kahan tu ho sanam
Do ghadi apni nigaahon ka sahaara de de

Saamne aake zara purdah uthha de rukh se
Ek yahi mera ilaaj-e-gam-e-tanhaai hai
Teri furqat ne pareshaan kiya hai mujhko
Ab toh mil jaa ke meri jaan pe ban aayi hai
Dil ko bhooli hui yaadon ka sahaara de de

Female version

Ai mere khwaab ki tabeer, meri jaan-e-gazal
Zindagi meri tujhe yaad kiye jaati hai
Raat din mujh ko sataata hai tasavvur tera
Dil ki dhadkan tujhe awaaz diye jaati hai
Aa mujhe apni sadaaon ka sahaara de de

Movie: Mere Mehboob (1963)
Director: Harnam Singh Rawail
Singer: Mohammad Rafi, Lata Mangeshkar
Lyricist: Shakeel Badayuni
Music Composer: Naushad Ali

This song has a male version, sung by Mohammad Rafi and picturised on Rajendra Kumar, and a female version, sung by Lata Mangeshkar and picturised on Sadhana. Both have been sung exceptionally well.
That, the wonderful lyrics by Shakeel Badayuni, and melodious music by Naushad Ali make it a family favourite. An excellent song to end 2018 with, isn't it? ~ S
Comments
Post a Comment