Aye meri zohra-jabeen

Hmmm... ay ay ay aye...

Aye meri zohra-jabeen, tujhe maalum nahi
Tu abhi tak hai haseen aur main jawaan
Tujhpe qurbaan meri jaan, meri jaan
Aye meri zohra-jabeen, tujhe maalum nahin
Tu abhi tak hai haseen aur main jawaan
Tujhpe qurbaan meri jaan, meri jaan

Ye shokhiyaan ye baankpan,
Jo tujh mein hai, kahi nahi
Ye shokhiyaan ye baankpan,
Jo tujh mein hai, kahi nahi
Dilon ko jeetne ka fan, jo tujh mein hai kahi nahi
Main teri...
Main teri aankho mein paa gaya do jahaan
Main teri...
Main teri aankho mein paa gaya do jahaan
Aye meri zohra-jabeen, tujhe maalum nahin
Tu abhi tak hai haseen aur main jawaan
Tujhpe qurbaan meri jaan, meri jaan

Tu meethe bol jaan-e-man,
Jo muskuraake bol de
Tu meethe bol jaan-e-man,
Jo muskuraake bol de
To dhadhkano mein aaj bhi,
Sharaabi rang ghol de
Oh sanam...
Oh sanam main tera aashiq-e-jaawida
Oh sanam...
Oh sanam main tera aashiq-e-jaawida
Aye meri zohra-jabeen, tujhe maalum nahin
Tu abhi tak hai haseen aur main jawaan
Tujhpe qurbaan meri jaan, meri jaan

Aye meri zohra-jabeen, tujhe maalum nahin
Tu abhi tak hai haseen aur main jawaan
Tujhpe qurbaan meri jaan, meri jaan

Movie: Waqt (1965)

Director: Yash Chopra

Singer: Manna Dey

Lyricist: Sahir Ludhianvi

Music Composer: Ravi


I remember talking about marriage (and what a partnership that is) with R a few days ago. I don't believe that loving or marrying are personal achievements. I think that even staying married for a long time is nothing to be proud of; maintaining the spark you felt when you first got married probably is. This song epitomises that. 
However, it is not on this blog to exemplify my take on marriage. This is here because Balraj Sahni, who happens to be one of my mother's favourite actors, seems so convincing in the song. Also, Manna Dey (another of my mother's favourites) has sung it so well!  
Growing up, this was one of my favourite Qawwali-type songs. It still is. ~ S

Comments