Do Deewane Shehar Mein

Deewana!

Ek deewana shehar mein
Ek deewana nahin, ek deewani bhi

Hmm mm
Do deewane shehar mein
Do deewane shehar mein, raat mein ya dopahar mein
Aab-o-daana
Aab-o-daana dhoondhte hain ek aashiyaana dhoondhte hain
Aab-o-daana dhoondhte hain ek aashiyaana dhoondhte hain
Do deewane shehar mein, raat mein ya dopahar mein
Aab-o-daana dhoondhte hain ek aashiyaana dhoondhte hain
Do deewaane

In bhoolbhulaiyya galiyon mein, apna bhi koyi ghar hoga
Ambar pe khulegi khidkiyan, khidki pe khula ambar hoga
In bhoolbhulaiyya galiyon mein, apna bhi koyi ghar hoga
Ambar pe khulegi khidkiyan, khidki pe khula ambar hoga

Asmaani rang ki ankhon mein
Asmaani ya aasmani?
Asmaani rang ki aankhon mein
Basne ka bahaana dhoondhte hain, dhoondhte hain
Aab-o-daana dhoondhte hain ek aashiyaana dhoondhte hain
Do deewane shehar mein, raat mein ya dopahar mein
Aab-o-daana dhoondhte hain ek aashiyaana dhoondhte hain
Do deewane

aaa oo o oo
Jab taare zameen par
Taare, aur zameen par?
Of course
Jab taare zameen par chalte hain
hmm hmm
Aakaash zameen ho jaata hai
aa aa aa
Us raat nahin phir ghar jaata, wo chaand yahin so jaata hai
Jab taare zameen par chalte hain
Aakaash zameen ho jaata hai
Us raat nahin phir ghar jaata, wo chaand yahin so jaata hai

Pal bhar ke liye
Pal bhar ke liye
Pal bhar ke liye in aankhon mein ham ek zamaana dhoondhte hain, dhoondhte hain
Aab-o-daana dhoondhte hain ek aashiyaana dhoondhte hain
Do deewane shehar mein, raat mein ya dopahar mein
Aab-o-daana dhoondhte hain ek aashiyaana dhoondhte hain

Do deewane
Do deewane
Do deewane
Do deewane
Do deewane

Movie: Gharonda (1977)
Director: Bhimsain Khurana
Singers: Bhupinder Singh, Runa Laila
Lyricist: Gulzar
Music Composer: Jaidev

I am fascinated by the phenomenon that is Gulzar. The man has a way with simple situations and simple words. He spins them so well that there’s meaning even in the humming of his songs. Jaidev’s music is also wonderful.
This song resonated with me when I was first finding my footing in this city—staying at a dingy hostel, travelling by bus and train, eventually looking at flats, finding one and settling down somewhat uneasily. Although I didn’t meet any ‘taare zameen par’ and the ‘chand’ certainly did not sleep anywhere near me, I was (and am) always hopeful. There is always hope; at least as long as such beautiful words and music exist. ~ S

Comments