Yeh waadiyan yeh fizayein

Yeh waadiyan yeh fizayein bula rahi hain tumhe

Khamoshiyon ki sadayein bula rahi hain tumhe

Taras rahe hain jawaan phool honth chhoone ko

Machal machal ke hawayein bula rahi hain tumhe
Machal machal ke hawayein bula rahi hain tumhe
Khamoshiyon ki sadayein bula rahi hain tumhe
Yeh waadiyan yeh fizayein bula rahi hain tumhe

Tumhari zulfon se khushboo ki bheekh lene ko

Jhuki jhuki si ghatayein bula rahi hain tumhe
Jhuki jhuki si ghatayein bula rahi hain tumhe
Khamoshiyon ki sadayein bula rahi hain tumhe
Yeh waadiyan yeh fizayein bula rahi hain tumhe

Haseen champayi pairon ko jabse dekha hai

Nadi ki mast adayein bula rahi hain tumhe
Nadi ki mast adayein bula rahi hain tumhe
Khamoshiyon ki sadayein bula rahi hain tumhe
Yeh waadiyan yeh fizayein bula rahi hain tumhe

Mera kaha na suno inki baat toh sun lo
Mera kaha na suno inki baat toh sun lo
Har ek dil ki duayein bula rahi hain tumhe

Khamoshiyon ki sadayein...

Movie: Aaj Aur Kal (1963)
Director: Vasant Joglekar
Singer: Mohammed Rafi
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Music Composer: Ravi

This song from “Aaj Aur Kal” (1963) features Sunil Dutt and a wheelchair-bound Nanda.
Instead of letting her sit and pine, he takes her outdoors and tries coaxing her out of the wheelchair. He tells her that the world is beckoning her and asks her to heed its calls. At the end of the song, he says mera kaha na suno inki baat toh sun lo, har ek dil ki duayein bula rahi hain tumhe.
I chose this song because it depicts compassion towards a disabled woman and encourages her to live her life as best as she can. Hope you like it! ~ S

Comments