Gham ki andheri raat mein

Gham ki andheri raat mein
Dil ko na beqaraar kar
Subah zaroor aayegi
Subah ka intezaar kar
Gham ki andheri raat mein

Dard hai saari zindagi
Jiska koi sila nahin
Dil ko fareb deejiye
Aur yeh hausla nahin
Aur yeh hausla nahin

Khud se toh badguma na ho
Khud pe toh aitbaar kar
Subah zaroor aayegi
Subah ka intezaar kar
Gham ki andheri raat mein

Khud hi tadap ke rah gaye
Dil ki sada se kya mila
Aag se khelte rahe
Hum ko wafa se kya mila
Hum ko wafa se kya mila

Dil ki lagi bujha na de
Dil ki lagi se pyaar kar
Subah zaroor aayegi
Subah ka intezaar kar
Gham ki andheri raat mein

Jisse na dil behal sakey
Aisi khabar se faayda
Raat abhi dhali kahaan
Aab-e-shehar se faayda
Aab-e-shehar se faayda

Fasl-e-bahaar aayegi
Daur-e-khiza guzaar kar
Subah zaroor aayegi
Subah ka intezaar kar
Gham ki andheri raat mein

Dil ko na beqaraar kar
Subah zaroor aayegi
Subah ka intezaar kar
Gham ki andheri raat mein

Movie: Subah Zaroor Aayegi (1977)
Director: Mahendra Pran
Singer(s): Mohammed Rafi, Talat Mahmood
Lyricist: Jan Nisar Akhtar
Music Composer: C. Arjun


This song is from the film Subah Zaroor Aayegi, released in 1977. The film was originally released in 1963 (or 1966) with the name Sushila.
There are no videos of this song on YouTube. There is one on Dailymotion but the quality is not very good. Despite this, I chose it because I love the lyrics and the Mohammed Rafi-Talat Mehmood combination.
In this song, hope and despair dance their eternal duel. While Talat sings of heartache, Rafi offers quiet comfort. Rafi’s voice reminds us that although the night feels endless, dawn always comes. It offers hope, reminding us that a brighter day is near.
Here’s to hope, folks! ~ S

Comments