Piya aiso jiya mein samayi gayo re

Piya aiso jiya mein samayi gayo re
Ki main tan mann ki sudh-budh gawa baithhi
Piya aiso jiya mein samayi gayo re
Ki main tan mann ki sudh-budh gawa baithhi
Har aahat pe samjhe woh aayi gayo re
Har aahat pe samjhe woh aayi gayo re
Jhat ghunghat mein mukhda chhupa baithhi
Piya aiso jiya mein samayi gayo re…

More angna mein jab purwaiya chali
More dwaare ki khul gayi kiwadiyaan
More angna mein jab purwaiya chali
More dwaare ki khul gayi kiwadiyaan
Oh daiya, dwaare ki khul gayi kiwadiyaan
Maine jaana ke aa gaye saanwariya more
Maine jaana ke aa gaye saanwariya more
Jhat phoollan ki sajiya pe ja baithhi

Piya aiso jiya mein samayi gayo re
Ki main tan mann ki sudh-budh gawa baithhi
Piya aiso jiya mein samayi gayo re…

Maine sindoor se maang apni bhari
Roop saiyaan ke karan sajaaya
Maine sindoor se maang apni bhari
Roop saiyaan ke karan sajaaya
Ho maine saiyaan ke karan sajaaya
Iss dar se ki pi ki nazar na lage
Iss dar se ki pi ki nazar na lage
Jhat nainan mein kajra laga baithhi

Piya aiso jiya mein samayi gayo re
Ki main tan mann ki sudh-budh gawa baithhi
Har aahat pe samjhe woh aayi gayo re
Jhat ghunghat mein mukhda chhupa baithhi
Piya aiso jiya mein samayi gayo re

Movie: Sahib Bibi Aur Ghulam (1962)
Director: Abrar Alvi
Singer: Geeta Dutt
Lyricist: Shakeel Badayuni
Music Director: Hemant Kumar



This is such a lovely song, beautifully sung by Geeta Dutt and wonderfully enacted by Meena Kumari. Yet, it always makes me sad to hear it. For me, it heralds a tragedy. But I still love it. ~ R

Comments