Aa chal ke tujhe, main le ke chalun

Aa chal ke tujhe, main le ke chalun
Ik aise gagan ke tale
Jahan gham bhi na ho, aansoo bhi na ho
Bas pyaar hi pyaar pale

Aa chal ke tujhe, main le ke chalun
Ik aise gagan ke tale
Jahan gham bhi na ho, aansoo bhi na ho
Bas pyaar hi pyaar pale
Ik aise gagan ke tale

Suraj ki pehli kiran se, aasha ka savera jaage
Suraj ki pehli kiran se, aasha ka savera jaage
Chanda ki kiran se dhul kar, ghanghor andhera bhaage
Chanda ki kiran se dhul kar, ghanghor andhera bhaage
Kabhi dhuup khile, kabhi chhaav mile
Lambi si dagar na khale
Jahan gham bhi na ho, aansoo bhi na ho
Bas pyaar hi pyaar pale
Ik aise gagan ke tale

Jahan door nazar daudaye, aazad gagan laharaye, laharaye
Jahan door nazar daudaye, aazad gagan laharaye, laharaye
Jahan rang birange panchhi, aashaa ka sandesa laayen
Jahan rang birange panchhi, aashaa ka sandesa laayen
Sapno mein pali, hansti ho kali
Jahan shaam suhaani dhale
Jahan gham bhi na ho, aansoo bhi na ho
Bas pyaar hi pyaar pale
Ik aise gagan ke tale

Sapno ke aise jahan mein jahan pyaar hi pyaar khila ho
Hum jaa ke vahan kho jaaye, shikwa na koyi ghila ho
Kahin bair na ho koyi gair na ho
Sab milke yun chalte chale
Jahan gham bhi na ho aansoo bhi na ho
Bas pyaar hi pyaar pale
Ik aise gagan ke tale

Aa chal ke tujhe, main le ke chalun
Ik aise gagan ke tale
Jahan gham bhi na ho, aansoo bhi na ho
Bas pyaar hi pyaar pale
Ik aise gagan ke tale
Ik aise gagan ke tale

Movie: Door Gagan Ki Chhaon Mein (1964)
Director: Kishore Kumar
Singer: Kishore Kumar
Lyricist: Kishore Kumar
Music Composer: Kishore Kumar


A song of hope for a beautiful world. I thought this would be a good way to start the year since the violence and pain around us seems particularly unremitting. May the new year be one of peace and happiness.
Also, how amazing is it that Kishore Kumar sweeps the credits for everything on this song: singing, crafting the lyrics, composing the music, and directing. ~ R

Comments