Chod de saari duniya kisi ke liye

Kahan chala ae mere jogi jeevan se tu bhaag ke
Kisi ek dil ke karan yun saari duniya tyaag ke

Chod de saari duniya kisi ke liye
Yeh munasib nahin aadmi ke liye
Chod de saari duniya kisi ke liye
Yeh munasib nahin aadmi ke liye
Pyaar se bhi zaroori kayi kaam hain
Pyaar sab kuch nahin zindagi ke liye
Chod de saari duniya kisi ke liye

Tan se tan ka milan ho na paaya toh kya
Man se man ka milan koyi kam toh nahin
Man se man ka milan koyi kam toh nahin
Khushboo aati rahe door hi se sahi
Saamne ho chaman koyi kam toh nahin
Saamne ho chaman koyi kam toh nahin
Chaand milta nahin sabko sansaar mein
Chaand milta nahin sabko sansaar mein
Hai diya hi bahut roshni ke liye
Chod de saari duniya kisi ke liye

Kitni hasrat se takti hain kaliyaan tumhein
Kyun bahaaron ko phir se bulaate nahin
Kyun bahaaron ko phir se bulaate nahin
Ek duniya ujad hi gayi hai toh kya
Doosra tum jahaan kyun basaate nahin
Doosra tum jahaan kyun basaate nahin
Dil na chaahe bhi toh, saath sansaar ke
Dil na chaahe bhi toh, saath sansaar ke
Chalna padta hai sab ki khushi ke liye
Chod de saari duniya kisi ke liye
Yeh munaasib nahin aadmi ke liye
Pyaar se bhi zaroori kayi kaam hain
Pyaar sab kuch nahin zindagi ke liye
Chod de saari duniya kisi ke liye

Movie: Saraswatichandra (1968)
Director: Govind Saraiya
Singers: Lata Mangeshkar
Lyricist: Indeevar
Music Composers: Kalyanji-Anandji


This song is written by Indeevar, sung by Lata Mangeshkar, and features Nutan and Manish. I know nothing of the movie, but it has some wonderful songs. I have already posted Chandan sa badan chanchal chitwan. I am sure somewhere down the line, I will post some of the others. Main toh bhool chali babul ka des is a strong contender. ~ S

Comments