Kis baagh mein main janma khela
Mera rom rom yeh jaanta hai
Tum bhool gaye shaayad maali
Par phool tumhen pehchaanta hai
Jo diya thha tumne ek din
Mujhe phir woh pyaar de do
Jo diya thha tumne ek din
Mujhe phir woh pyaar de do
Ek karz maangta hoon
Bachpan udhaar de do
Jo diya thha tumne ek din
Mujhe phir woh pyaar de do
Ek karz maangta hoon
Bachpan udhaar de do
Jo diya thha tumne ek din
Mujhe phir woh pyaar de do
Tum chhod gaye thhey jisko
Ek dhool bharey rastey mein
Tum chhod gaye thhey jisko
Ek dhool bharey rastey mein
Woh phool aaj rota hai
Woh phool aaj rota hai
Ek ameer ke guldaste mein
Ek ameer ke guldaste mein
Mera dil tadap raha hai
Mujhe phir dulaar de do
Mera dil tadap raha hai
Mujhe phir dulaar de do
Ek karz maangta hoon
Bachpan udhaar de do
Jo diya thha tumne ek din
Mujhe phir woh pyaar de do
Meri udaas aankhon ko
Hai yaad woh waqt salona
Meri udaas aankhon ko
Hai yaad woh waqt salona
Jab jhoola thha baahon mein
Jab jhoola thha baahon mein
Main banke tumhara khilauna
Main banke tumhara khilauna
Meri woh khushi ki duniya
Phir ek baar de do
Meri woh khushi ki duniya
Phir ek baar de do
Ek karz maangta hoon
Bachpan udhaar de do
Jo diya thha tumne ek din
Mujhe phir woh pyaar de do
Tumhen dekh naach uthte hain
Mere pichhle din woh sunehre
Aur door kahin dikhte hain
Mujhse bichhde do chehre
Tumhen dekh naach uthte hain
Mere pichhle din woh sunehre
Aur door kahin dikhte hain
Mujhse bichhde do chehre
Jise sunke ghar woh laute
Mujhe woh pukaar de do
Jise sunke ghar woh laute
Mujhe woh pukaar de do
Ek karz maangta hoon
Bachpan udhaar de do
Jo diya thha tumne ek din
Mujhe phir woh pyaar de do
Aha haa
Oho ho
Oho ho
Hmm mm mm...
Movie: Sambandh (1969)
Director: Ajoy Biswas
Singers: Mahendra Kapoor, Hemant Kumar
Lyricist: Pradeep
Music Composer: O P Nayyar
Mera rom rom yeh jaanta hai
Tum bhool gaye shaayad maali
Par phool tumhen pehchaanta hai
Jo diya thha tumne ek din
Mujhe phir woh pyaar de do
Jo diya thha tumne ek din
Mujhe phir woh pyaar de do
Ek karz maangta hoon
Bachpan udhaar de do
Jo diya thha tumne ek din
Mujhe phir woh pyaar de do
Ek karz maangta hoon
Bachpan udhaar de do
Jo diya thha tumne ek din
Mujhe phir woh pyaar de do
Tum chhod gaye thhey jisko
Ek dhool bharey rastey mein
Tum chhod gaye thhey jisko
Ek dhool bharey rastey mein
Woh phool aaj rota hai
Woh phool aaj rota hai
Ek ameer ke guldaste mein
Ek ameer ke guldaste mein
Mera dil tadap raha hai
Mujhe phir dulaar de do
Mera dil tadap raha hai
Mujhe phir dulaar de do
Ek karz maangta hoon
Bachpan udhaar de do
Jo diya thha tumne ek din
Mujhe phir woh pyaar de do
Meri udaas aankhon ko
Hai yaad woh waqt salona
Meri udaas aankhon ko
Hai yaad woh waqt salona
Jab jhoola thha baahon mein
Jab jhoola thha baahon mein
Main banke tumhara khilauna
Main banke tumhara khilauna
Meri woh khushi ki duniya
Phir ek baar de do
Meri woh khushi ki duniya
Phir ek baar de do
Ek karz maangta hoon
Bachpan udhaar de do
Jo diya thha tumne ek din
Mujhe phir woh pyaar de do
Tumhen dekh naach uthte hain
Mere pichhle din woh sunehre
Aur door kahin dikhte hain
Mujhse bichhde do chehre
Tumhen dekh naach uthte hain
Mere pichhle din woh sunehre
Aur door kahin dikhte hain
Mujhse bichhde do chehre
Jise sunke ghar woh laute
Mujhe woh pukaar de do
Jise sunke ghar woh laute
Mujhe woh pukaar de do
Ek karz maangta hoon
Bachpan udhaar de do
Jo diya thha tumne ek din
Mujhe phir woh pyaar de do
Aha haa
Oho ho
Oho ho
Hmm mm mm...
Movie: Sambandh (1969)
Director: Ajoy Biswas
Singers: Mahendra Kapoor, Hemant Kumar
Lyricist: Pradeep
Music Composer: O P Nayyar
I used to love this song long ago. However, as time passed, I forgot it. Recently, I came across a similar tune and remembered it.
A sentimental song from the movie Sambandh, with music by O P Nayyar and lyrics by Pradeep, it remains close to my heart. The rendering by Mahendra Kapoor and Hemant Kumar is excellent. Hope you enjoy this exceptional duet! ~ S
Comments
Post a Comment