Hain duniya ussiki zamaana ussika

Hain duniya ussiki zamaana ussika
Mohabbat mein jo ho gaya ho kissika
Hain duniya ussiki zamaana ussika
Mohabbat mein jo ho gaya ho kissika

Luta jo musaafir dil ke safar mein
Hain jannat yeh duniya usski nazar mein
Luta jo musaafir dil ke safar mein
Hain jannat yeh duniya usski nazar mein
Ussi ne hain loota mazaa zindagi ka
Mohabbat mein jo ho gaya ho kissika

Hain sajde ke qaabil har woh deewana
Ke jo ban gaya ho tasveer-e-jaana
Hain sajde ke qaabil har woh deewana
Ke jo ban gaya ho tasveer-e-jaana
Karo ehtraam usski deewangi ka
Mohabbat mein jo ho gaya ho kissika

Barbaad hona jiski adaa ho
Dard-e-mohabbat jiski dawa ho
Barbaad hona jiski adaa ho
Dard-e-mohabbat jiski dawa ho
Satayega kya gham usse zindagi ka
Mohabbat mein jo ho gaya ho kissika
Hain duniya ussiki zamaana ussika
Mohabbat mein jo ho gaya ho kissika

Movie: Kashmir Ki Kali (1964)
Director: Shakti Samanta
Singer: Mohammed Rafi
Lyricist: S H Bihari
Music Composer: OP Nayyar


The Kashmir ki Kali soundtrack is probably among Mohammed Rafi’s best. Both his solo numbers on it and his duets with Asha Bhosle are magical! Of course, much is owed to OP Nayyar’s music as well. SH Bihari’s lyrics, resonating with beautiful Urdu words, are also an important element of this magic. This number is one of my favourites on this soundtrack. Shammi Kapoor is drowning his sorrows (?) in drink and Mohammed Rafi’s voice is intoxicating (and intoxicated, to keep in character?). I wish I knew the name of the saxophone player, both on and off screen! ~ R

Comments