Aaja tu raja aaja

Aaa...
Hone lage haaye kyun yeh dil bekarar
Kahte hai aa raha
Hai mausam bahar ka

Aaja tu raja aaja
Mausam-e-bahar hai
Ambua ki meethi tera intezar hai
Aaja tu raja aaja
Mausam-e-bahar hai
Ambua ki meethi tera intezar hai
Abhi abhi dekho
Udi koyaliya bol ke
Bada maza hai
Pehla pehla pyaar hai
Aaja tu raja aaja
Mausam-e-bahar hai
Ambua ki meethi tera intezar hai

(Ab bani baat!)

Arre bach bach bach bach bachna
Main toh laayi hoon ek toofan
Arre hat hat hat hat hatna
Jalte hain dil mein armaan
Are bach bach bach bach bachna
Main toh laayi hoon ek toofan
Arre hat hat hat hat hatna
Jalte hai dil mein armaan
Raho mein na tu aa
Main tujhe doon mita
Hai kayamat ki har ek ada
Tu toh dekh zara
Are sun sun sun sun ri
Aag bhara mera raag hai
Are hat hat hat hatana pagli
Doongi main tujhko mita
Doongi main tujho jala

Ganga ki dhara si tu
Rok sakegi rok sakegi
Pyaar ruke na kisike bhi roke
Dekha na tune kisika bhi hoke
Pyaar mein apna sab kuch khoke
Pyar ruke na kisike bhi roke

Maidan mein aa zara
Tu baatein na kori bana
Saamne bhi toh aa zara
Kuch karke dikha
Kahte hai kya sargam meri, jawab de tu
Kahti hai kya paayal meri, jawab de tu
Mere har geet ka mere sangeet ka
Meri har chaal ka meri har tal ka
Jawab de tu

Saiya ke man mein tujhe
Aane na doongi main
Mere preet ka pehra laga
Man bharmane na doongi main
Koyal se seekha gana maine
Nachna ban ki mor se
Seekha kamal se man ka lubhana
Dil ka churana seekha chanda ki kor se

Darti hoon teri akad yeh kahin
Reh jaye na haaye yehin ki yehin
Darti hoon teri akad yeh kahin
Reh jaye na haaye yehin ki yehin
Shayad yeh tune suna hi nahin
Shayad yeh tune suna hi nahin
Garajte hai jo woh baraste nahi

Bijli hoon mujhko batati hai kya
Garajna hai kya barasna hai kya
Bijli hoon mujhko batati hai kya
Garajna hai kya barasna hai kya
Tera kisi se na pala pada
Jo aata hai tujhko woh karke dikha

Movie: Raj Tilak (1958)
Director: S S Vasan
Singers: Asha Bhosle, Sudha Malhotra
Lyricist: P L Santoshi
Music Composer: C Ramchandra


Today’s choice is a song from Raj Tilak (1958) a remake of the Tamil film Vanji Kottai Valipan. In both films, the lead roles were played by Gemini Ganeshan, Padmini, and Vyjayanthimala.
I was unaware of the existence of the Hindi version of this song until recently. However, its Tamil (original) version has been dear to me since I was a child.
The song features a dance-off between Vyjayanthimala and Padmini, which is considered one of the best dance sequences in Indian cinema. Although both the Hindi and Tamil versions seem identical, there are slight differences. Hope you enjoy it. ~ S

Comments