Yeh raaten, yeh mausam, nadhi ka kinaara

Yeh raaten, yeh mausam, nadhi ka kinaara, yeh chanchal hawa
Yeh raaten, yeh mausam, nadhi ka kinaara, yeh chanchal hawa
Kaha do dilon ne, ki milkar kabhi hum na honge judaa
Yeh raaten, yeh mausam, nadhi ka kinaara, yeh chanchal hawa

Yeh kya baat hain aaj ki chaandni mein
Yeh kya baat hain aaj ki chaandni mein
Ki hum kho gaye pyaar ki raagini mein
Yeh baahon mein baahen, yeh behki nigaahen
Lo aane laga zindagi ka mazaa
Yeh raaten, yeh mausam, nadhi ka kinaara, yeh chanchal hawa

Sitaaron ki mehfil ne karke ishaara
Sitaaron ki mehfil ne karke ishaara
Kaha ab toh saara jahaan hain tumhaara
Mohabbat jawaan ho, khula asamaan ho
Kare koi dil aarzoo aur kya
Yeh raaten, yeh mausam, nadhi ka kinaara, yeh chanchal hawa

Kasam hain tumhen, tum agar mujhse roothe
Kasam hain tumhen, tum agar mujhse roothe
Rahe saans jab tak yeh bandhan na toote
Tumhen dil diya hain, yeh waada kiya hain
Sanam main tumhaari rahoongi sada
Yeh raaten, yeh mausam, nadhi ka kinaara, yeh chanchal hawa
Kaha do dilon ne, ki milkar kabhi hum na honge judaa
Yeh raaten, yeh mausam, nadhi ka kinaara, yeh chanchal hawa

Movie: Dilli Ka Thug (1958)
Director: S D Narang
Singers: Kishore Kumar, Asha Bhosle
Lyricist: Shailendra
Music Composer: Ravi

Dilli Ka Thug has the famous song ‘C.A.T. Cat, cat mane billi’, which is more in line with the manic energy of Kishore Kumar that many of us are used to. This is a mellower Kishore Kumar, both on screen and in the vocals, but who’s complaining? It is a gentle song and its presence on this soundtrack alongside ‘cat mane billi’ showcases Ravi’s wonderful musical range as well. And the icing on the cake? A gorgeous Nutan, of course! ~ R

Comments