Kitna Haseen Hai Mausam

Kitna haseen hai mausam kitna haseen safar hai
Sathi hai khoobsurat yeh mausam ko bhi khabar hai
Kitna haseen hai mausam kitna haseen safar hai
Sathi hai khoobsurat yeh mausam ko bhi khabar hai

Milti nahin hai manzil rahi jo ho akela
Do ho toh phir jahaan bhi chaahe laga lo mela
Dil mil gaye toh phir kya jungle bhi ek ghar hai
Sathi hai khoobsurat yeh mausam ko bhi khabar hai

Kitna haseen hai mausam kitna haseen safar hai
Sathi hai khoobsurat yeh mausam ko bhi khabar hai

Na jaane havaein kya kehna chaahti hain
Na jaane havaein kya kehna chaahti hain
Panchi teri sadayein kya kehna chaahti hain
Panchi teri sadayein kya kehna chaahti hain
Kuch toh hai aaj jiska har cheez par asar hai
Sathi hai khoobsurat yeh mausam ko bhi khabar hai

Kitna haseen hai mausam kitna haseen safar hai
Sathi hai khoobsurat yeh mausam ko bhi khabar hai

Kudrat yeh keh rahi hai aa dil se dil mila le
Ulfat se aag lekar dil ka diya jala le
Sachchi agar lagan hai phir kiska tujhko dar hai
Sathi hai khoobsurat yeh mausam ko bhi khabar hai

Kitna haseen hai mausam kitna haseen safar hai
Sathi hai khoobsurat yeh mausam ko bhi khabar hai

Movie: Azaad (1955)
Director: S M Sriramulu Naidu
Singer(s): Lata Mangeshkar, C Ramchandra
Lyricist: Rajendra Krishan
Music Composer: C Ramchandra

Azaad is the remake of the hit Tamil film Malaikkallan. When he wanted to remake the film in Hindi, the producer SHS Naidu first approached Naushad to compose its music.
He wanted all nine songs to be recorded in a couple of months, which was not possible as Naushad was busy. Naidu asked some other music directors, who also declined.
C Ramchandra, who agreed, successfully recorded all the songs within time. Although all the songs were hits, Ramachandra had to face many obstacles.
For instance, Talat Mahmood, who usually sang playback for Dilip Kumar, was unable to find time to sing this song. So, Ramachandra himself sang it. It is a simple, yet beautiful, song picturized at a waterfall on a dapper Dilip Kumar and lovely Meena Kumari. ~ S

Comments