Apne haathon ko pehchan

Ooo...

Apne haathon ko pehchan
Apne haathon ko pehchan
Moorakh in mein hain bhagwan
Mujh par tujh par sab hi par
In do haathon ka ehsaan
Apne haathon ko pehchan

Hath uthaate hain jo kisan
Parwat kaat girate hain
Badhte chadte pani mein
Bandh ke band dikhate hain
Jungle se kheto ki taraf
Mod ke dariya laate hain
Apne haathon ko pehchan

Muthi bhar dana lekar
Yeh toh zameen mein bikhraye
Jitne taare chamakte hain
Utne hi paudhe ug jaye
Bhookh jahan tak dekh sake
Kheth wahan tak lehraye
Apne haathon ko pehchan

Tune gaade eenton se
Haathon ka hai yaarana
Rakhe neev yeh dharti mein
Chath ko gagan de nazraana
Basta jaye shehar naya
Sajta jaye veerana
Apne haathon ko pehchan

Cheeni aur hathaudi ka
Khel agar ye dikhlaye
Ubhre chehre pathar mein
Devi devta muskaaye
Chamke dhamke taj mahal
Taj mahal taj mahal
Chand sitaare sharmaaye
Apne haathon ko pehchan

Chaak chale in haathon se
Pahiya jaise jeevan ka
Aankh jhapakte lag jaye
Mela kore bartan ka
Haathon ke choo lene se
Sona banta hai zewar
Roop ko chamka dete hain
Kangan jhumke aur jhoomar
Been sarangi tabla dhol
Sab kuch haath banaate hain
Taro mein aawaz kahan
Haath humare gaate hain

Ooo..

Movie: Apna Haath Jagannath (1960)
Director: Mohan Segal
Singer: Mohammed Rafi
Lyricist: Kaifi Azmi
Music Composer: S D Burman


Many years ago, I was paralyzed on three separate occasions because of multiple sclerosis. I recovered every time. However, I was despondent as I lost my beautiful handwriting, the ability to play the violin and drums, and many other things that I had taken for granted.
I started doing activities, such as crochet and paper crafts, to regain the dexterity of my hands. Although I still have some niggles and aches, I have coped well. And, I am quite adept at some of the crafts that I practised then.
When I heard this song recently, I remembered those days. It reminded me of what hands can do if they are backed by an iron will. Hope it inspires you too! ~ S

Comments