Tu kahaan yeh bataa iss nasheeli raat mein

Tu kahaan
Tu kahaan yeh bataa iss nasheeli raat mein
Maane na mera dil deewana
Hai re maane na mera dil deewana
Tu kahaan yeh bataa iss nasheeli raat mein
Maane na mera dil deewana
Hai re hai, maane na mera dil deewana

Bada natkhat hain sama,
Bada natkhat hain sama, har nazaara hain jawaan
Chha gaya chaaron taraf meri aahon ka dhuan
Dil mera, meri jaan, na jala
Tu kahaan
Tu kahaan yeh bataa iss nasheeli raat mein
Maane na mera dil deewana
Hai, maane na mera dil deewana

Aayi jab thandi hawa,
Aayi jab thandi hawa, maine puchha jo pata
Woh bhi takra ke gayi aur bechain kiya
Pyaar se tu mujhe de sada
Tu kahaan
Tu kahaan yeh bataa iss nasheeli raat mein
Maane na mera dil deewana
Hai re hai, maane na mera dil deewana

Chaand taaron ne suna,
Chaand taaron ne suna, in bahaaron ne suna
Dard ka raag mera rahguzaaron ne suna
Tu bhi sun jaan-e-man aa bhi ja
Tu kahaan
Tu kahaan yeh bataa iss nasheeli raat mein
Maane na mera dil deewana
Hai, maane na mera dil deewana

Pyaar ka dekho asar,
Pyaar ka dekho asar, aaye tum thaame jigar
Mil gayi aaj mujhe meri manchaahi dagar
Kyun chhupa, ikk jhalak phir dikha
Tu kahaan
Tu kahaan yeh bataa iss nasheeli raat mein
Maane na mera dil deewana
Hai re hai, maane na mera dil deewana
Hai, maane na mera dil deewana
Hai, maane na mera dil deewana

Movie: Tere Ghar Ke Samne (1963)
Director: Vijay Anand
Singer: Mohammed Rafi
Lyricist: Hasrat Jaipuri
Music Composer: S D Burman

Black & White (B&W) Version

Colour Version

I’ve managed to put Nutan on screen yet again! Her face is just so expressive! And Dev Anand is flirtatious and loose-limbed in a fake hill station. Mohammed Rafi’s voice is more intoxicating than the mood created by Hasrat Jaipuri’s lyrics. When it’s all put together, what’s not to love! ~ R

(PS: For this song, there was a B&W and colour version available. I like the B&W version for mood and the colour version for clarity.)

Comments