Ibteda-e-ishq mein hum

Ibteda-e-ishq mein hum saari raat jaage
Allah jaane kya hoga aage, oh maula jaane kya hoga aage
Dil mein teri ulfat ke bandhne lage dhaage
Allah jaane kya hoga aage, oh maula jaane kya hoga aage
Ibteda-e-ishq mein hum

Kya kahoon kuch kaha nahin jaaye, bin kahe bhi raha nahin jaaye
Kya kahoon kuch kaha nahin jaaye, bin kahe bhi raha nahin jaaye
Raat bhar karvat main badloon, dard dil ka saha nahin jaaye
Neend meri aankhon se door door bhaage
Allah jaane kya hoga aage, oh maula jaane kya hoga aage
Dil mein teri ulfat ke bandhne lage dhaage
Allah jaane kya hoga aage, oh maula jaane kya hoga aage
Ibteda-e-ishq mein hum

Dil mein jaagi preet ki jwala, jabse maine hosh sambhala
Dil mein jaagi preet ki jwala, jabse maine hosh sambhala
Main hoon tere pyaar ki seema, tu mera raahi matwala
Mere man ki veena mein tere raag jaage
Allah jaane kya hoga aage, oh maula jaane kya hoga aage
Ibteda-e-ishq mein hum saari raat jaage
Allah jaane kya hoga aage, oh maula jaane kya hoga aage
Ibteda-e-ishq mein hum

Tune jab jab aankh milaayi, dil se ek aawaz yeh aayi
Tune jab jab aankh milaayi, dil se ek aawaz yeh aayi
Chalke ab taron mein rahenge, pyaar ke hum do saudaayi
Mujhko teri surat bhi chand raat laage
Allah jaane kya hoga aage, oh maula jaane kya hoga aage
Ibteda-e-ishq mein hum saari raat jaage
Allah jaane kya hoga aage, oh maula jaane kya hoga aage
Ibteda-e-ishq mein hum saari raat jaage
Allah jaane kya hoga aage, oh maula jaane kya hoga aage 
Ibteda-e-ishq mein hum

Movie: Hariyali Aur Rasta (1962)
Singers: Lata Mangeshkar, Mukesh
Lyricist: Hasrat Jaipuri
Music Composer(s): Shankar-Jaikishan
Director: Vijay Bhatt


The film Hariyali Aur Rasta has many popular songs, such as the title song Hariyali aur rasta, Teri yaad dil se bhulane chala hoon, Kho gaya hai mera pyaar, Bol meri taqdeer mein kya hai, Dil mera chup chap jala, Laakhon taare aasmaan mein, and the lullaby Ek tha raja ek thi rani.
Now, I am not particularly a fan of running around trees, of Manoj Kumar or of Mala Sinha. (It was rather surprising to see an animated Manoj Kumar though!)
I chose this song because of the words ibteda-e-ishq (the beginning of love). The lines 'Ibteda-e-ishq mein hum saari raat jaage, Allah jaane kya hoga aage, oh maula jaane kya hoga aage' capture the excitement and nervousness of new love.
It is melodious and tends to be an earworm. Enjoy! ~ S

Comments