Ae dil mujhe bata de

Ae dil mujhe bata de tu kispe aa gaya hain
Woh kaun hain jo aakar khwaabon pe cha gaya hain

Masti bhara taraana kyun raat ga rahi hain
Aankhon mein neend aakar kyun dur jaa rahi hain

Dil mein koi sitamgar armaan jaga gaya hain
Woh kaun hain jo aakar khwaabon pe cha gaya hain
Ae dil mujhe bata de tu kispe aa gaya hain
Woh kaun hain jo aakar khwaabon pe cha gaya hain

Betaab ho raha hain yeh dil machal machal ke
Shaayad yeh raat beetey karwat badal badal ke

Ae dil zara sambhal ja, shaayad woh aa gaya hain
Woh kaun hain jo aakar khwaabon pe cha gaya hain
Ae dil mujhe bata de tu kispe aa gaya hain
Woh kaun hain jo aakar khwaabon pe cha gaya hain

Bheegi hui hawaayen, mausam bhi hain gulaabi
Kya chaand kya sitaaren har cheez hain sharaabi

Dheere se ek nagma koi suna gaya hain
Woh kaun hain jo aakar khwaabon pe cha gaya hain
Ae dil mujhe bata de tu kispe aa gaya hain
Woh kaun hain jo aakar khwaabon pe cha gaya hain
Ae dil mujhe bata de

Movie: Bhai Bhai (1956)
Director: M V Raman
Singer: Geeta Dutt
Lyricist: Rajendra Krishan
Music Composer: Madan Mohan
I discovered Geeta Dutt after I had already fallen in love with Asha Bhosle and so she became my second love. If it were the other way around, Geeta Dutt’s would have been the voice I first fell in love with. The humming, the singing, everything about her rendition of this song is such fun with a nice underpinning of sensuality (thanks in part also to Rajendra Krishan’s lyrics)! I am not surprised the much-married character Ashok Kumar plays in the movie falls for the lively (but crafty, apparently) young thing Shyama is pretending to be here! Madan Mohan’s music is lovely, Geeta Dutt’s singing is wonderful and duplicitous or not, Shyama looks beautiful on screen. So, I had to feature this song here 😊 ~ R

Comments