Chalta rahe yeh karwan

Chalta rahe yeh karwan
Umr-e-ravaan ka karwan
Umr-e-ravaan ka karwan
Chalta rahe yeh karwan
Umr-e-ravaan ka karwan

Shaam chaley sehar chaley
Manzil se bekhabar chaley
Shaam chaley sehar chaley
Manzil se bekhabar chaley
Bass yoon hi umr bhar chaley
Ruk na sake yahaan wahan
Chalta rahe yeh karwan
Umr-e-ravaan ka karwan

Phooley phaley meri kali
Gham na miley tujhe kabhi
Phooley phaley meri kali
Gham na miley tujhe kabhi
Guzre khushi mein zindagi
Aaye na mausam-e-khizaan
Chalta rahe yeh karwan
Umr-e-ravaan ka karwan

Duniya ka tu habeeb ho
Manzil teri qareeb ho
Duniya ka tu habeeb ho
Manzil teri qareeb ho
Ooncha tera naseeb ho
Tujhse khuda bhi ho amaan
Chalta rahe yeh karwan
Umr-e-ravaan ka karwan
Hmmm hmm hmm hmm
Hmm hmm hmm hmm

Movie: Chor Bazar (1954)
Director: P N Arora
Singer: Lata Mangeshkar
Lyricist: Shakeel Badayuni
Music Composer: Sardar Malik
This song from Chor Bazar is picturised on Shashikala, who is seen travelling on a camel with two children. It is composed by Sardar Malik and written by Shakeel Badayuni. This is the only film in which they worked together.
I chose this song because of Shashikala, Sardar Malik, and the camel.
Hope you enjoy the song as well as the trivia. ~ S

Comments