Aahen na bhari shiqwe na kiye

Aahen na bhari shiqwe na kiye
Kuch bhi na zubaan se kaam liya
Aahen na bhari shiqwe na kiye
Kuch bhi na zubaan se kaam liya
Kuch bhi na zubaan se kaam liya
Aahen na bhari shiqwe na kiye
Aahen na bhari shiqwe na kiye
Kuch bhi na zubaan se kaam liya
Kuch bhi na zubaan se kaam liya
Kuch bhi na zubaan se kaam liya

Is par bhi mohabbat chup na saki
Aaa...
Is par bhi muhabbat chhup na saki
Jab tera kisi ne naam liya
Jab tera kisi ne haan haan
Jab tera kisi ne naam liya
Hum dil ko pakad kar baith gaye
Haathon se kaleja thaam liya
Hum dil ko pakad kar baith gaye
Haathon se kaleja thaam liya
Aahen na bhari shiqwe na kiye
Kuch bhi na zubaan se kaam liya

Poochha jo kisi ne haal toh hum
Aaa...
Poochha jo kisi ne haal toh hum
Kuchh keh na sake kuchh keh bhi gaye
Kuchh keh na sake haan haan
Kuchh keh na sake kuchh keh bhi gaye
Haaye...aaa...
Roke toh bahut aansoo lekin
Kuchh ruk bhi gaye kuchh beh bhi gaye
Kuchh ruk bhi gaye haan haan
Kuchh ruk bhi gaye kuchh beh bhi gaye
Afsaana kaha aur lab na hile
Ashqon se zubaan ka kaam liya
Afsaana kaha aur lab na hile
Ashqon se zubaan ka kaam liya
Aahen na bhari shiqwe na kiye
Kuch bhi na zubaan se kaam liya

Rone se bhala kya dil rukta, kya dil rukta, kya dil rukta
Rone se bhala kya dil rukta
Duniya ko tadapkar tadpaata
Duniya ko tadapkar haan haan
Duniya ko tadapkar tadpaata
Aaa...
Sach poochhiye woh toh khair huyi
Sach poochhiye woh toh khair huyi
Mehfil mein tamaasha ban jaata
Mehfil mein tamaasha haan haan
Mehfil mein tamaasha ban jaata
Kuch aap adayen rok gaye
Kuch zabt se humne kaam liya
Kuch aap adayen rok gaye
Kuch zabt se humne kaam liya
Aahen na bhari shiqwe na kiye
Kuch bhi na zubaan se kaam liya

Woh lakh tumhare zulm sahe, haan zulm sahe, ae ji zulm sahe
Woh lakh tumhare zulm sahe
Par aankh se aansoo beh na saka
Aaa...
Beemar-e-mohabbat ae Nakhshab
Aaa...
Beemar-e-mohabbat ae Nakhshab
Kuch aur toh munh se keh na saka
Ik thandi si lambi aah bhari
Chupke se kisi ka naam liya
Ik thandi si lambi aah bhari
Chupke se kisi ka naam liya
Aahen na bhari shiqwe na kiye
Kuch bhi na zubaan se kaam liya
Aahen na bhari shiqwe na kiye
Kuch bhi na zubaan se kaam liya

Movie: Zeenat (1945)
Director: Shaukat Hussain Rizvi
Singer(s): Kalyani Menon, Noor Jehan, Zohrabai Ambalewali
Lyricist: Nakhshab Jarchavi
Music Composers: Meer Saheb, Hafiz Khan
Described as an Indian Muslim social melodrama by Wikipedia, the film Zeenat was the highest-grossing movie of 1945 and is known for the qawwali featured today. All eight songs in it were sung by female singers. This all-female qawwali, the first of its kind in Indian cinema, became an instant super hit.
It was written by Nakhshab Jarchavi, whose takhallus or pen name appears in the lyrics, and composed by Meer Saheb and Hafiz Khan. Although it may not have stylish movements like the qawwalis of later times, it is delightful to see so many women singing together.
Besides, the lyrics resonate with what I feel. Despite the chaos in my life right now, I am not sighing or complaining!~ S

Comments