Raaton ke saaye ghane

Raaton ke saaye ghane
Jab bojh dil par bane
Na toh jale baathi, na ho koi saathi
Na toh jale baathi, na ho koi saathi
Phir bhi na dar agar bujhe diye
Sehar toh hai tere liye
Raaton ke saaye ghane
Jab bojh dil par bane
Na toh jale baathi, na ho koi saathi
Na toh jale baathi, na ho koi saathi
Phir bhi na dar agar bujhe diye
Sehar toh hai tere liye

Jab bhi mujhe kabhi koi jo gham ghere
Lagta hai honge nahin sapne yeh poore mere
Jab bhi mujhe kabhi koi jo gham ghere
Lagta hai honge nahin sapne yeh poore mere
Kahta hai dil mujhko, mana hai gham tujhko
Phir bhi na dar agar bujhe diye
Sehar toh hai tere liye

Jab na chaman khile mera baharon mein
Jab doobne main lagoon raaton ke majdharon mein
Jab na chaman khile mera baharon mein
Jab doobne main lagoon raaton ke majdharon mein
Maayus man dole, par yeh gagan bole
Phir bhi na dar agar bujhe diye
Sehar toh hai tere liye

Mmmhmm...

Jab zindagi kisi tarah behalti nahin
Khamoshiyon se bhari jab raat dhalti nahin
Jab zindagi kisi tarah behalti nahin
Khamoshiyon se bhari jab raat dhalti nahin
Tab muskuraoon main, yeh geet gaoon main
Phir bhi na dar agar bujhe diye
Sehar toh hai tere liye

Movie: Annadata (1972)
Director: Asit Sen
Singer: Lata Mangeshkar
Lyricist: Yogesh
Music Composer: Salil Chowdhury
This song means hope and courage to me. How else can you describe the words Lagta hai honge nahin sapne yeh poore mere/Kahta hai dil mujhko, mana hai gham tujhko/Phir bhi na dar agar bujhe diye/Sehar toh hai tere liye...
Salil Chowdhury's soul-stirring music adds to their poignancy.
Trivia: Chowdhury has used the same tune for a song in the Malayalam film Swapnam (1973). Nee varoo kavyadevathe, albeit in a male (KJ Yesudas) voice, is equally soul-stirring. ~ S

Comments