Jaane kya dhundti rehti hain yeh aankhen mujh mein
Raakh ke dher mein shola hain na chingaari hain

Ab na woh pyaar na uss pyaar ki yaadein baaki
Aag jo dil mein lagi kuchh na raha, kuchh na bacha
Jiski tasveer nigaahon mein liye baithi ho
Main woh dildaar nahin usski hoon khamosh chitah

Zindagi hans ke guzarti toh bahut achchha tha
Khair hans ke na sahi ro ke guzar jaayegi
Raakh barbaad mohabbat ki bacha rakhi hain

Baar baar isko jo chheda toh bikhar jaayegi

Aarzoo jurm, wafa jurm, tamanna hain gunaah

Yeh woh duniya hain yahaan pyaar nahin ho sakta
Kaise baazaar ka dastur tumhe samjhaon
Bik gaya jo woh kharidaar nahin ho sakta

Movie: Shola Aur Shabnam (1961)
Director: Ramesh Saigal
Singer: Mohammed Rafi
Lyricist: Kaifi Azmi

Music Composer: Khayyam
Truly unjaana gaana for me this week and truth be told, for the second week running. My last pick was also one I hadn’t heard before, as is this one. And this is apparently a famous song! I heard it for the first time only recently and fell in love with the lyrics. So, my mood? Love for Kaifi Azmi’s words, I guess! Sone pe suhaaga is Mohammed Rafi’s voice, Khayyam’s gentle music that builds to a crescendo of desperation in the last verse, and a drool-worthy young Dharmendra. Enjoy! Kissike gham mein itna sukoon paana shayyad achcha nahin par kya kare, yeh gaana hain hi kuch aisa. 😉 ~ R
Comments
Post a Comment