Dil dhoondta hai phir wohi fursat ke raat din
Movie: Mausam (1975)
Director: Gulzar
Singer: Bhupinder Singh
Lyricist: Gulzar
Music Composer: Madan Mohan

Baithe rahe tasavur-e-jaana kiye huve

Jaadon ki narm dhoop aur aangan mein let kar
Aankhon pe kheench kar tere aanchal ke saaye ko
Aundhe pade rahe kabhi karwat liye huve

Ya garmiyon ki raat jo purwayiyan chale
Thandi safed chaadron pe jaage der tak
Taaron ko dekhte rahe chhat par pade huve

Barfeeli sardiyon mein kisi bhi pahad par
Wadi mein goonjti huyi, khamoshiyan sune
Aankhon mein bheege bheege se lamhe liye huve

Baithe rahe tasavur-e-jaana kiye huye
Dil dhoondhta hai phir wohi fursat ke raat din

There are two versions of this song. I chose the solo title song version as a tribute to Bhupinder Singh who died on July 18. He has sung the duet version with Lata Mangeshkar.
Our theme this year is current mood/emotion, and I am searching for a few days when not just my body but also my mind gets some much-needed rest.
Till I find them, what better way to relax than to listen to Bhupinder's voice singing Gulzar's words?
(For those interested in trivia, Gulzar borrowed the first couplet of this song from Mirza Ghalib. He had written 'Jee dhoondta hai phir wohi fursat ke raat din, baithe rahe tasavur-e-jaana kiye huve...') ~ S
Comments
Post a Comment