Zindagi denewale sun

Zindagi denewale sun
Teri duniya se dil bhar gaya
Main yehan jeete ji mar gaya
Zindagi denewale sun
Teri duniya se dil bhar gaya
Main yehan jeete ji mar gaya
Zindagi denewale sun

Raat katthi nahin, din guzarta nahin
Zakhm aisa diya hai ke bharta nahin
Aankh veeraan hai, dil pareshaan hai
Gam ka saamaan hai
Jaise jaadu koi kar gaya
Zindagi denewale sun
Teri duniya se dil bhar gaya
Main yehan jeete ji mar gaya
Zindagi denewale sun

Bekhata tune mujhse khushi chheen li
Zinda rakha magar zindagi chheen li
Kar diya dil ka khoon, chup kahan tak rahoon
Saaf kyun na kahoon
Tu khushi se meri dar gaya
Zindagi denewale sun
Teri duniya se dil bhar gaya
Main yehan jeete ji mar gaya
Zindagi denewale sun

Movie: Dil-E-Nadaan (1953)
Director: Abdul Rashid Kardar
Singer: Talat Mahmood
Lyricist: Shakeel Badayuni
Music Composer: Ghulam Mohammad
 
I chose this song because sometimes I feel what the song says: Zindagi denewale sun, teri duniya se dil bhar gaya.
This sad but lovely song is sung by and picturised on Talat Mahmood. He sang the song 'Hain sabse madhur woh geet jinhein hum dard ke sur mein gaate hain' in Patita (1953). How true! His velvety voice lends itself well to pathos.
Listen to it, enjoy it, but do shake off the sad vibe. ~ S

Comments