Jab yahan se jaoonga main aur kya le jaoonga

Ek din Hatim-e-Tai se kisi ne poochha
Kyun museebat mein giraftaar tu rehta hai sada
Doosro ke liye kyon phirta hai maara maara
Bola kuchh aur nahin jaanta hun iske siwa

Jab yahan se jaoonga main aur kya le jaoonga
Jab yahan se jaoonga main aur kya le jaoonga
Ek neki ek bhalai ek dua le jaoonga
Jab yahan se jaoonga main aur kya le jaoonga

Char din ki zindagani aur duniya chand roz
Char din ki yeh sara hai jisme rehna chand roz
Kyon na kar jaoon jahan mein naam apna chand roz
Kyon na kar jaoon jahan mein naam apna chand roz
Ek apna amaalnama naam-e-khudaa le jaoonga
Jab yahan se jaoonga main aur kya le jaoonga
Ek neki ek bhalai ek dua le jaoonga
Jab yahan se jaoonga main aur kya le jaoonga

Aa…
Maut ke toofan mein insaan jab beh jaayega
Heera moti sona chaandi sab yahin reh jaayega
Jaate jaate jaanewaala bas yahin keh jaayega
Jaate jaate jaanewaala bas yahin keh jaayega
Main yahan laaya tha kya aur saath kya le jaoonga
Jab yahan se jaoonga main aur kya le jaoonga
Ek neki ek bhalai ek dua le jaoonga
Jab yahan se jaoonga main aur kya le jaoonga

Aa…
Khaaq ka putla hoon main aur khaaq mein mil jaoonga
Aa…
Beej jaise bovoonga waise hi phal main paoonga
Ab nahin socha toh marte dam bahut pachhtaoonga
Ab nahin socha toh marte dam bahut pachhtaoonga
Daaman-e-hasti gunaahon se bhara le jaoonga
Jab yahan se jaoonga main aur kya le jaoonga
Ek neki ek bhalai ek dua le jaoonga
Jab yahan se jaoonga main aur kya le jaoonga
Jab yahan se jaoonga main aur kya le jaoonga

Movie: Hatimtai Ki Beti (1955)
Director: Nanubhai Vakil
Singers: Talat Mahmood, S. Balbir
Lyricist: Shewan Rizvi
Music Composer: A.R. Qureshi
A qawwali sung by Talat Mahmood, S. Balbir, and chorus, this song has some profound lyrics that match the general direction of my recent thoughts.
“Jab yahan se jaoonga main aur kya le jaoonga, Ek neki ek bhalai ek dua le jaoonga”
What else can you take with you? What more can you hope for?
“Khaaq ka putla hoon main aur khaaq mein mil jaoonga, Beej jaise bovoonga waise hi phal main paoonga”
Bears thinking, doesn’t it? ~ S

Comments