Pal do pal ka saath humara

Aa...
Pal do pal saath humara
Pal do pal ka saath humara
Pal do pal ke yaarane hain
Pal do pal ka saath humara
Pal do pal ke yaarane hain
Is manzil par milnewale
Is manzil par milnewale
Is manzil par milnewale 
Us manzil par kho jaane hain
Pal do pal ka saath humara
Pal do pal ke yaarane hain

Aa… dha ni dha pama pa
Pal do pal ka saath humara
Pal do pal ka saath humara
Pal do pal ke yaarane hain
Is manzil par milnewale
Us milnewale aahe milnewale
Is manzil par milnewale
Us manzil par kho jaane hain
Pal do pal ka saath humara
Pal do pal ke yaarane hain
Do pal pal do pal ka saath humara
Do pal pal do pal ka saath humara humara
Pal do pal ka saath humara
Pal do pal ke yaarane hain

Aa...
Nazron ke shokh nazraane
Honthon ke garm paimaane ho
Nazron ke shokh nazraane
Honthon ke garm paimaane
Hain aaj apni mehfil mein
Kal kya ho koi kya jaane
Ho nazron ke shokh nazraane
Honthon ke garm paimaane
Hain aaj apni mehfil mein
Kal kya ho koi kya jaane
Yeh pal khushi ki jannat hai
Is pal mein jee le deewane
Yeh pal khushi ki jannat hai
Is pal mein jee le deewane

Aa…
Aaj ki khushiyaan ek haqiqat
Kal ki khushiyaan afsaane hain
Pal do pal ka saath humara
Pal do pal ke yaarane hain
Do pal pal do pal ka saath humara
Humara humara
Do pal pal do pal ka saath humara humara
Pal do pal pal do pal ka saath humara
Pal do pal ka saath humara
Pal do pal ke yaarane hain

Aa…
Har khushi kuch der ki mehmaan hai
Poora kar le dil mein jo armaan hai
Armaan hai armaan hai
Poora kar le dil mein jo armaan hai

Aa…
Zindagi ik tez rau toofan hai
Iska jo peecha kare naadan hai
Har khushi har khushi har khushi
Har khushi kuch der ki mehmaan hai
Poora kar le dil mein jo armaan hai
Zindagi ik tez rau toofan hai
Iska jo peecha kare naadan hai
Gumshuda khushiyon pe
Aahe gumshuda
Gumshuda khushiyon pe 
Aahe gumshuda khushiyon pe par kyon hairaan hai
Waqt laute iska kab imtehaan hai

Jhoom jab tak jhoom
Jhoom jab tak jhoom
Jhoom jhoom jhoom jhoom

Aa…
Jhoom jab tak dhadkanon mein jaan hai
Jhoomna hi zindagi ki shaan hai
Jhoom jab tak jhoom

Jhoom jab tak jhoom
Jhoom jab tak dhadkanon mein jaan hai
Aahe jhoomna hi zindagi ki shaan hai
Aahe avval aakhir har koi anjaan hai
Zindagi bas raah ki pehchaan hai
Jhoom jab tak jhoom
Jhoom jab tak jhoom
Jhoom jhoom jhoom jhoom
Jhoom jab tak dhadkanon mein jaan hai
Aahe jhoomna hi zindagi ki shaan hai
Aahe avval aakhir har koi anjaan hai
Zindagi bas raah ki pehchaan hai

Doston apna toh yeh imaan hai
Jo bhi jitna saath de ehsaan hai
Doston apna toh yeh imaan hai
Jo bhi jitna saath de ehsaan hai
Ho..
Umr ka rishta jodnewale
Umr ka rishta jodnewale
Apni nazar mein deewane hain
Pal do pal ka saath humara
Pal do pal ke yaarane hain
Pal do pal ka saath humara
Pal do pal ke yaarane hain

Movie: The Burning Train (1980)
Director: Ravi Chopra
Singers: Asha Bhosle, Mohammed Rafi
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Music Composer: R D Burman
A qawwali on a train – this song is quite rare. Sung superbly by Mohammed Rafi and Asha Bhosle and picturised on Jeetendra and Asha Sachdev, it is over 10 minutes long. 
However, it doesn’t bore you as the music is vibrant. Just as O P Nayyar is a master at tanga songs, train songs are the forte of the Burmans. 
Similarly, although its lyrics are a sombre reminder that life is ephemeral, the visuals are quite entertaining. Hope you enjoy it as much as I do. ~ S


Comments