Insaan bano, insaan bano

Nirdhan ka ghar lootnewalon
Loot lo dil ka pyaar
Pyaar woh dhan hai jiske aage
Sab dhan hain bekaar

O... 
Insaan bano, insaan bano
Kar lo bhalai kaa koi kaam, insaan bano
Duniya se chale jaayega reh jayega badnaam, insaan bano

O... 
Is bagh mein sooraj bhi nikalta hai liye gham
Phoolon ki hansi dekh ke ro deti hai shabnam
Kuch der ki khushiyaan hai toh kuch der ka maatam
Kis neend mein ho...
Kis neend mein ho jaago zara soch lo anjaam, insaan bano

O... 
Lakhon yehan shaan apni dikhate huve aaye
Dum bhar ke liye nach gaye dhoop mein saaye
Woh bhool gaye theh ke yeh duniya hai saraaye
Aata hai koi...
Aata hai koi subah ko jaata hai koi shaam, insaan bano

O... 
Kyon tumne lagaye hai yehan zulm ke dere
Dhan saath na jaayega bane kyon ho lutere
Peete ho garibon ka lahu shaam savere
Khud paap karo...
Khud paap karo naam ho shaitan ka badnaam, insaan bano

Insaan bano kar lo bhalai ka koi kaam, insaan bano
Duniya se chale jaayega reh jaayega badnaam, insaan bano

Movie: Baiju Bawra (1952)
Director: Vijay Bhatt
Singer: Mohammed Rafi
Lyricist: Shakeel Badayuni
Music Composer: Naushad Ali
This song from the 1952 movie Baiju Bawra tells us to be human beings. It asks us to stop terrorizing others to satiate our greed because after all the earth is just a temporary abode.

Shakeel Badayuni’s words are so meaningful. You see people warring for land, power, and wealth, not realising that they would ultimately have to leave their ill-gotten gains here itself.

Mohammed Rafi has sung the song with just the right amount of passion, anger and grief to convince you of this truth. Overall, a great song. Enjoy! ~ S

Comments