Aage bhi jaane na tu

Aage bhi jaane na tu, peeche bhi jaane na tu
Jo bhi hain bas yehi ek pal hain
Aage bhi jaane na tu, peeche bhi jaane na tu
Jo bhi hain bas yehi ek pal hain
Aage bhi jaane na tu

Anjaane saayon ka raahon mein dera hain
Andekhi baahon ne hum sab ko ghera hai
Yeh pal ujjala hain, baaki andhera hain
Yeh pal gavaana na, yeh pal hi tera hain
Jeene waale, soch le
Yehi waqt hain kar le poori aarzoo

Aage bhi jaane na tu, peeche bhi jaane na tu
Jo bhi hain bas yehi ek pal hain

Iss pal ke jalwon ne mehfil sawaari hain
Iss pal ki garmi ne dhadkan ubhaari hain
Iss pal ke hone se duniya humari hain
Yeh pal jo dekho toh sadiyon pe bhaari hain
Jeene waale, soch le
Yehi waqt hain kar le poori aarzoo

Aage bhi jaane na tu, peeche bhi jaane na tu
Jo bhi hain bas yehi ek pal hain
Aage bhi jaane na tu

Iss pal ke saaye mein apna thikana hain
Iss pal ke aage ki har shay fasaana hain
Kal kisne dekha hain, kal kisne jaana hain
Iss pal se paayega, jo tujhko paana hain
Jeene waale, soch le
Yehi waqt hain kar le poori aarzoo

Aage bhi jaane na tu, peeche bhi jaane na tu
Jo bhi hain bas yehi ek pal hain
Aage bhi jaane na tu, peeche bhi jaane na tu
Jo bhi hain bas yehi ek pal hain
Jo bhi hain bas yehi ek pal hain

Movie: Waqt (1965)
Director: Yash Chopra
Singer: Asha Bhosle
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Music Composer: Ravi
It feels like the universe is sending me messages. I have been thinking about being present in the present and not dwelling on the past or worrying about the future as I usually do. Then, this song!
The idea of living in the moment of making it worth more than eons is quite fascinating. Sometimes, our past is distant and murky and who knows the future, so it’s true, we really know nothing about aage or peeche. But in this moment, if we seize it and make it worthwhile, it is bright and ours!
When I see this movie I think it's about beautiful people. That vast star cast looks so good on screen, Raaj Kumar, Shashikala, Sunil Dutt, Sadhana, Shashi Kapoor, Sharmila Tagore, all of them. This movie has some lovely songs. But this one features nearly all the stars and Asha Bhosle’s voice is so lovely. She changes the words she stresses each time she sings the refrain, I think, and I love it! ~ R

Comments