Raaz ki baat keh doon toh

Ye khushi ye aur jo naya andaaz hai
Samajhnewalon samjh lo isme bhi ek raaz hai
Raaz ki baat keh doon toh jaane mehfil mein phir kya ho
Raaz ki baat keh doon toh jaane mehfil mein phir kya ho

Raz khulne ka tum pehle...ho...
Raz khulne ka tum pehle zara anjaam soch lo
Isharon ko agar samjho raaz ko raaz ko rahne do
Isharon ko agar samjho raaz ko raaz ko rahne do
Raaz ki baat keh doon toh jaane mehfil mein phir kya ho

Zubaan pe baat aayi kabhi rukti nahin hai, kabhi rukti nahin hai
Uth gayi jo aankh ek bar jhukti nahin hai, arey jhukti nahin hai

Umeedon ka kabhi na saamne mein khoon hone doon
Haqeeqat ko chhupaoongi to woh chhupti nahin hai
Jo barson se chupi dil mein use hothon pe aane doon
Jo barson se chupi dil mein use hothon pe aane doon
Raaz ki bat keh doon toh jaane mehfil mehfil mehfil
Jaane mehfil me phir kya ho

Uthe aankhen jo mehfil mein woh aankhen phod ke rakh doon
Woh aankhen phod ke rakh doon
Badhe jo hath toh us haath ko main tod ke rakh doon
Meri jaan tod ke rakh doon
Jo nawakif hain mujhse aaj unse jaa ke ye kah do
Zubaan pe raaz aaya toh zubaan ko mod ke rakh doon

Khushi se koi jeeta hai, khushi se usko jeene do
Khushi se koi jeeta hai, khushi se usko jeene do
Isharon ko agar samjho raaz ko raaz ko rahne do

Khushiko cheen kar teri nazar se door kar doon,
Arey haan door kar doon
Tujhe main aahen bharne ke liye majboor kar doon,
Haan main majboor kar doon
Yahan badnam kar doon wahan mashhoor kar doon
Zubaan khul jaaye gar meri toh chakna choor kar doon
Zara afsaane ka pehle pata lagne do duniya ko
Zara afsaane ka pehle pata lagne do duniya ko
Raaz ki baat keh doon toh jaane mehfil mein jaane mehfil mein
Jaane mehfil mein phir kya ho

Yeh sooraj chand aur taare chale mere isharon par
Chale mere isharon par
Hukumat hai meri dariya samundar aur kinaron par
Samundar aur kinaron par
Main apne hathon se is duniya ki takdeer likhta hoon
Magar phir taras aata hai tere jaise becharon par
Nahi paida hua koi jo roke meri rahon ko
Nahi paida hua koi jo roke meri rahon ko
Isharon ko agar samjho raaz ko raaz ko rahne do

Tumhari raat kya hai, teri aukaat kya hai
Tumhare kya iraade, ye pehle tu bata de
Husn ki maar buri hai, ishq ki haar buri hai
Nazar ka teer jo chhodoon, teer ko aise todoon
Agar ghunghat utha doon, toh main aankh lada doon
Kamar ke dekh jhatke, idhar bhi dekh palat ke
Tu mujhko na pehchane, mujhe tu bhi na jaane
Badan mera hai kundan, mera dil bhi hai chandan
Main chandan ki khushbu hoon
Main chandan main chandan main chandan hubahu hoon

Isharon ko agar samjho raaz ko raaz ko rahne do
Isharon ko agar samjho raaz ko raaz ko rahne do

Movie: Dharma (1973)
Director: Chand
Singers: Mohammed Rafi, Asha Bhosle
Lyricist: Verma Malik
Music Composer: Sonik-Omi

Barkatrai Malik was born in Ferozepur, Pakistan. An active freedom fighter, he initially wrote bhajans and patriotic songs. After partition, he moved to India. Music director Hansraj Behl, who helped him gain a foothold in the Punjabi film industry, advised him to change his name to Verma Malik.
Actor-director Manoj Kumar gave Malik his first break in the Hindi film industry. One of Malik’s most popular songs is Aaj meri yaar ki shaadi hai, which is still played during weddings. He also received Filmfare awards for the films Pehchan and Be-Imaan.
This qawwali, featuring Pran and Bindu, is an example of his ability to blend shayari and folk songs well.
Malik died on 15 March 2009. Here’s to a great lyricist who penned some truly memorable hit songs. ~ S

Comments