Sun sun sun sun zaalima

Sun sun sun sun, zaalima
Pyaar hum ko tum se ho gaya
Dil se mila le dil mera
Tujh ko mere pyaar ki kasam

Ja ja ja ja bewafa
Kaisa pyaar kaisi preet re
Tu na kissi ka meet re
Jhoothi teri pyaar ki kasam

Sun sun sun sun, zaalima

Ja ja ja ja bewafa

Pyaar ki nazar se door, yun na zindagi guzaar
Husn tu hain ishq main, kar bhi le nazar ko chaar
Pyaar ki nazar se door, yun na zindagi guzaar
Husn tu hain ishq main, kar bhi le nazar ko chaar

Chaar main nazar karoon aur phir huzur se
Chaar main nazar karoon aur phir huzur se
Paas yun na aaiye, baat kijiye dur se
Ja ja ja ja bewafa
Kaisa pyaar kaisi preet re
Tu na kissi ka meet re
Jhoothi teri pyaar ki kasam

Sun sun sun sun, zaalima

Ja ja ja ja bewafa

Door kab talak rahoon, phool tu hain rang main
Main toh hoon tere liye, dorr tu patang main
Door kab talak rahoon, phool tu hain rang main
Main toh hoon tere liye, dorr tu patang main

Kat gayi patang ji, dorre ab na daaliye
Kat gayi patang ji, dorre ab na daaliye
Aur kissi ke saamne, jaa ke dil uchhaaliye

Sun sun sun sun, zaalima
Pyaar hum ko tum se ho gaya
Dil se mila le dil mera
Tujh ko mere pyaar ki kasam

Ja ja ja ja bewafa

Sun sun sun sun, zaalima

Baat reh na jaaye phir, waqt ye guzar na jaaye
Mere pyaar ka ye haar, toot kar bikhar na jaaye
Baat reh na jaaye phir, waqt ye guzar na jaaye
Mere pyaar ka ye haar, toot kar bikhar na jaaye

Pyaar pyaar keh ke tu, dil mera na loot re
Pyaar pyaar keh ke tu, dil mera na loot re
Keh raha hain tu joh baat, ho na jhooth mooth re

Ja ja ja ja bewafa
Kaisa pyaar kaisi preet re
Tu na kissi ka meet re
Jhoothi teri pyaar ki kasam

Sun sun sun sun, zaalima
Pyaar hum ko tum se ho gaya
Dil se mila le dil mera
Tujh ko mere pyaar ki kasam

Ja ja ja ja bewafa

Sun sun sun sun, zaalima

Arre ja ja ja ja

Arre sun sun sun sun

Movie: Aar Paar (1954)
Director: Guru Dutt
Singers: Mohammed Rafi, Geeta Dutt
Lyricist: Majrooh Sultanpuri
Music Composer: O P Nayyar



Aar Paar is probably the film Shyama is most well known for. It was something like her big break; after nearly 10 years of smaller parts, she was the lead actress in this movie.
This is a lovely song, beautifully rendered by Geeta Dutt and Mohammed Rafi to the foot tapping music of O P Nayyar. Shyama was a beautiful actress and her husband, cinematographer Fali Mistry, reportedly found her so photogenic, he said he didn’t need special light to shoot her. In this delightfully playful number, that lovely face is well showcased. Remembering her on her birthday (June 7). ~ R

Comments