Kajra mohabbatwala

Kajra mohabbatwala
Ankhiyon mein aisa dala
Kajre ne le li meri jaan
Haay re main tere qurbaan

Duniya hai mere peechhe
Lekin main tere peechhe
Apna bana le meri jaan
Haay re main tere qurbaan

Kajra mohabbatwala
Ankhiyon mein aisa dala
Kajre ne le li meri jaan
Haay re main tere qurbaan

Aayi ho kahan se gori
Aankhon mein pyaar leke
Aayi ho kahan se gori
Aankhon me pyaar leke
Chadhti jawaani ki yeh
Pehli bahaar leke
Dilli shehar ka saara
Meena bazaar leke
Dilli shehar ka saara
Meena bazaar leke
Jhumka bareliwala
Kaanon mein aisa dala
Jhumke ne le li meri jaan
Haay re main tere qurbaan

Duniya hai mere peechhe
Lekin main tere peechhe
Apna bana le meri jaan
Haay re main tere qurbaan

Motar na bangla mangoon
Jhumka na haar mangoon
Motar na bangla mangoon
Jhumka na haar mangoon
Dil ko chalaanewaale
Dil ka qaraar mangoon
Sainya bedardi mere
Thoda sa pyaar mangoon
Sainya bedardi mere
Thoda sa pyaar mangoon
Kismat bana de meri
Duniya basa le meri
Kar le sagaai meri jaan
Haay re main tere qurbaan

Kajra mohabbatwala
Ankhiyon mein aisa dala
Kajre ne le li meri jaan
Haay re main tere qurbaan

Jab se hai dekha tujhko
Ho gaye gulaam tere
Jab se hai dekha tujhko
Ho gaye gulaam tere
Apna bana le gori
Aayenge kaam tere
Apna yeh jeevan saara
Likh denge naam tere
Apna yeh jeevan saara
Likh denge naam tere
Kurta ye jaaliwala
Uspar motiyan ki mala
Kurte ne le li meri jaan
Haay re main tere qurbaan

Duniyaa hai mere pichhe
Lekin main tere pichhe
Apna bana le meri jaan
Haay re main tere qurbaan

Kajra mohabbatwala
Ankhiyon mein aisa dala
Kajre ne le li meri jaan
Haay re main tere qurbaan

Movie: Kismat (1968)
Director: Manmohan Desai
Singers: Asha Bhosle, Shamshad Begum
Lyricist:  S H Bihari
Music Composer: O P Nayyar


The daughter of character actor Hari Shivdasani and niece of famous actress Sadhana, Babita was keen to act rather than continue her studies after she finished school. She quit acting after she fell in love and married Randhir Kapoor. Babita was instrumental in her daughters joining films.
In this song, Babita is disguised as a man and Biswajeet, as a woman. However, Asha Bhosle sings for Babita and Shamshad Begum for Biswajeet. The wonderful music and the excellent rendering of the song is matched by its extremely enjoyable picturisation.
I don’t know if this is the right song to dedicate to Babita on her birthday (April 20) but both R and I love this song. So here goes… ~ S 

Comments