Zindagi bhar nahin bhoolegi

Zindagi bhar nahin bhoolegi woh barsaat ki raat
Ek anjaan haseena se mulaakaat ki raat
Zindagi bhar nahin bhoolegi…

Haaye woh reshmi zulfon se barasta paani
Haaye woh reshmi zulfon se barasta paani
Phool se gaalon pe rukne ko tarasta paani
Dil mein toofaan uthaate huve
Dil mein toofaan uthaate huve jasbaat ki raat
Zindagi bhar nahin bhoolegi woh barsaat ki raat
Zindagi bhar nahin bhoolegi…

Darke bijli se, achaanak woh lipatna uska
Aur phir sharm se balkhaake simatna uska
Kabhi dekhi na suni aisi ho
Kabhi dekhi na suni aisi tilismaat ki raat
Zindagi bhar nahin bhoolegi…

Surkh aanchal ko dabaakar jo nichoda usne
Surkh aanchal ko dabaakar jo nichoda usne
Dil pe jalta huva ek teer sa chhoda usne
Aag paani mein lagaate huve
Aag paani mein lagaate huve haalaat ki raat
Zindagi bhar nahin bhoolegi…

Mere naghmon mein jo basti hai woh tasveer thi woh
Naujawaani ke haseen khwaab ki taabeer thi woh
Aasmanon se uthar aayi ho
Aasmanon se uthar aayi thi jo raat ki raat
Zindagi bhar nahin bhoolegi woh barsaat ki raat
Ek anjaan haseena se mulaakaat ki raat
Zindagi bhar nahin bhoolegi…

Movie: Barsaat ki raat (1960)
Director: P L Santoshi
Singer: Mohammed Rafi
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Music Composer: Roshan


Born on Valentine’s Day as Mumtaz Jehan Dehlavi and renamed by the great Devikaa Rani, Madhubala became known as the Venus of the Indian Screen.
It’s a pleasure choosing a song to dedicate to Madhubala, because she is a favourite and has been featured in so many great songs. I wavered for a long time between this and Ik ladki bheegi bhaagi si, two similar songs. 
In the end, I chose this because Wikipedia tells me that the film Barsaat ki Raat has strong independent female characters who make their own destiny. This matches the theme of this blog this year. 
Although her life was tragic and short, Madhubala will never fade from the hearts and minds of Indian cine buffs. ~ S

Comments