Subhanallah haseen chehra

Subhanallah, haaye
Haseen chehra, haaye
Subhanallah haseen chehra, ye mastaana adayein
Khuda mehfooz rakhe har bala se, har bala se

Tumhein dekha, haaye
To dil bola, haaye
Tumhein dekha, to dil bola ke tumko doon duaein
Khuda mehfooz rakhe har bala se, har bala se

Na jaane kiski kismat mein hai mukhda chaand sa yeh
Na jaane kiske ghar chamkega tukda chaand ka yeh

Ijaazat ho, haaye
Toh fir hum bhi, haaye
Ijaazat ho toh fir hum bhi muqaddar aazmayein
Khuda mehfooz rakhe har bala se, har bala se

Subhanallah haseen chehra, ye mastaana adayein
Khuda mehfooz rakhe har bala se, har bala se

Badi hasrat se tumko dekhta hai ye zamaana
Sunaana chaahta hai har koi apana fasaana

Koi dil ho, haaye
Koi mehfil, haaye
Koi dil ho, koi mahafil, jahaan bhi aap jaayein

Subhanallah haseen chehra, ye mastaana adayein
Khuda mehfooz rakhe har bala se, har bala se

Tumhein dekha, to dil bola ki tumko doon duaein
Khuda mehfooz rakhe har bala se, har bala se

Subhanallah haseen chehra, ye mastaana adayein
Khuda mehfooz rakhe har bala se, har bala se

Movie: Kashmir Ki Kali (1964)
Director: Shakti Samanta
Singers: Asha Bhosle, Mohammed Rafi
Lyricist: S H Bihari
Music Composer: OP Nayyar

The many beautiful songs in Kashmir Ki Kali are proof of OP Nayyar’s talent.
What attracts me most to this song is its unique rhythm. A cheeky Shammi Kapoor disguised in a burkha and gyrating oddly as usual; a pretty Sharmila Tagore; and a grim, suspicious Pran driving the truck make it great fun to watch too. ~ S

Comments