Jaise sooraj ki garmi se jalte huve tan ko
Mil jaaye taruvar ki chhaaya
Sooraj ki garmi se jalte huve tan ko
Mil jaaye taruvar ki chhaaya
Aisa hi sukh mere man ko mila hai
Main jab se sharan teri aaya, mere raam
Sooraj ki garmi se jalte huve tan ko
Mil jaaye taruvar ki chhaaya...
Bhatka huva mera man tha koi,
Mil na raha tha sahaara
Bhatka huva mera man tha koi,
Mil na raha tha sahaara
Leheron se ladti huyi naav ko
Leheron se ladti huyi naav ko jaise
Mil na raha ho kinaara
Mil na raha ho kinaara
Us ladkhadaati huyi naav ko jo
Kisi ne kinaara dikhaaya
Aisa hi sukh mere man ko mila hai
Main jab se sharan teri aaya, mere raam
Sooraj ki garmi se jalte huve tan ko
Mil jaaye taruvar ki chhaaya...
Sheetal bane aag chandan ke jaisi,
Raaghav, kripa ho jo teri
Raaghav, kripa ho jo teri
Ujiyaali poonam ki ho jaayein raatein
Jo thi amaavas andheri
Ujiyaali poonam ki ho jaayein raatein
Jo thi amaavas andheri
Jo thi amaavas andheri
Yug yug se pyaasi marubhumi ne jaise
Saawan ka sandesh paaya
Aisa hi sukh mere man ko mila hai
Main jab se sharan teri aaya, mere raam
Sooraj ki garmi se jalte huve tan ko
Mil jaaye taruvar ki chhaaya...
Jis raah ki manzil tera milan ho,
Us par kadam main badhaaoon
Jis raah ki manzil tera milan ho,
Us par kadam main badhaaoon
Phoolon mein khaaron mein, patjhad bahaaron mein,
Main na kabhi dagmagaaoon
Phoolon mein khaaron mein, patjhad bahaaron mein,
Main na kabhi dagmagaaoon
Main na kabhi dagmagaaoon
Paani ke pyaase ko takdeer ne jaise
Jee bhar ke amrit pilaaya
Paani ke pyaase ko takdeer ne jaise
Jee bhar ke amrit pilaaya
Aisa hi sukh mere man ko mila hai
Main jab se sharan teri aaya, mere raam
Sooraj ki garmi se jalte huve tan ko
Mil jaaye taruvar ki chhaaya
Aisa hi sukh mere man ko mila hai
Main jab se sharan teri aaya, mere raam
Sooraj ki garmi se jalte huve tan ko
Mil jaaye taruvar ki chhaaya...
Movie: Parinay (1974)
Director: Kantilal Rathod
Singers: Sharma Bandhu
Lyricist: Ramanand Sharma
Music Composer: Jaidev
I am always drawn towards philosophical/worship songs. I have unshakable faith in God, and I really feel the 'chhaya' mentioned in the song during difficult times. The voices of the Sharma brothers are really soothing. ~ S
Mil jaaye taruvar ki chhaaya
Sooraj ki garmi se jalte huve tan ko
Mil jaaye taruvar ki chhaaya
Aisa hi sukh mere man ko mila hai
Main jab se sharan teri aaya, mere raam
Sooraj ki garmi se jalte huve tan ko
Mil jaaye taruvar ki chhaaya...
Bhatka huva mera man tha koi,
Mil na raha tha sahaara
Bhatka huva mera man tha koi,
Mil na raha tha sahaara
Leheron se ladti huyi naav ko
Leheron se ladti huyi naav ko jaise
Mil na raha ho kinaara
Mil na raha ho kinaara
Us ladkhadaati huyi naav ko jo
Kisi ne kinaara dikhaaya
Aisa hi sukh mere man ko mila hai
Main jab se sharan teri aaya, mere raam
Sooraj ki garmi se jalte huve tan ko
Mil jaaye taruvar ki chhaaya...
Sheetal bane aag chandan ke jaisi,
Raaghav, kripa ho jo teri
Raaghav, kripa ho jo teri
Ujiyaali poonam ki ho jaayein raatein
Jo thi amaavas andheri
Ujiyaali poonam ki ho jaayein raatein
Jo thi amaavas andheri
Jo thi amaavas andheri
Yug yug se pyaasi marubhumi ne jaise
Saawan ka sandesh paaya
Aisa hi sukh mere man ko mila hai
Main jab se sharan teri aaya, mere raam
Sooraj ki garmi se jalte huve tan ko
Mil jaaye taruvar ki chhaaya...
Jis raah ki manzil tera milan ho,
Us par kadam main badhaaoon
Jis raah ki manzil tera milan ho,
Us par kadam main badhaaoon
Phoolon mein khaaron mein, patjhad bahaaron mein,
Main na kabhi dagmagaaoon
Phoolon mein khaaron mein, patjhad bahaaron mein,
Main na kabhi dagmagaaoon
Main na kabhi dagmagaaoon
Paani ke pyaase ko takdeer ne jaise
Jee bhar ke amrit pilaaya
Paani ke pyaase ko takdeer ne jaise
Jee bhar ke amrit pilaaya
Aisa hi sukh mere man ko mila hai
Main jab se sharan teri aaya, mere raam
Sooraj ki garmi se jalte huve tan ko
Mil jaaye taruvar ki chhaaya
Aisa hi sukh mere man ko mila hai
Main jab se sharan teri aaya, mere raam
Sooraj ki garmi se jalte huve tan ko
Mil jaaye taruvar ki chhaaya...
Movie: Parinay (1974)
Director: Kantilal Rathod
Singers: Sharma Bandhu
Lyricist: Ramanand Sharma
Music Composer: Jaidev
I am always drawn towards philosophical/worship songs. I have unshakable faith in God, and I really feel the 'chhaya' mentioned in the song during difficult times. The voices of the Sharma brothers are really soothing. ~ S
Comments
Post a Comment