Dushman na kare

Dushman na kare dost ne woh kaam kiya hain
Dushman na kare dost ne woh kaam kiya hain
Umr bhar ka gham humein inaam diya hain
Dushman na kare dost ne woh kaam kiya hain
Umr bhar ka gham humein inaam diya hain

Toofan mein hum ko chhod ke saahil pe aa gaye
Toofan mein hum ko chhod ke saahil pe aa gaye
Saahil pe aa gaye
Nakhuda ka hum ne jinhe naam diya hain
Umr bhar ka gham humein inaam diya hain

Dushman na kare, O

Pehle toh hosh cheen liye zulm-o-sitam se
Pehle toh hosh cheen liye zulm-o-sitam se
Zulm-o-sitam se
Deewangi ka phir humein ilzaam diya hain
Umr bhar ka gham humein inaam diya hain

Dushman na kare, O

Apne hi giratey hain nasheman pe bijliyaan
Apne hi giratey hain nasheman pe bijliyaan
Nasheman pe bijliyaan
Gairon ne aake phir bhi usse thaam liya hain
Umr bhar ka gham humein inaam diya hain

Dushman na kare, O

Bankar raqeeb baithhe hain woh jo habib the
Bankar raqeeb baithhe hain woh jo habib the
Woh jo habib the
Yaaron ne khoob farz ko anjaam diya hain
Umr bhar ka gham humein inaam diya hain

Dushman na kare dost ne woh kaam kiya hain
Umr bhar ka gham humein inaam diya hain

Movie: Aakhir Kyon? (1985)
Director: J. Om Prakash
Singers: Lata Mangeshkar, Amit Kumar
Lyricist: Indeevar
Music Composer: Rajesh Roshan


I don’t remember the details of this movie but I remember being unimpressed by it, overall, except, that is, for Smita Patil. A beautiful woman, a compelling artist, a person I would pay to go watch even in a sorry film. I was looking for Lata Mangeshkar hits (It’s her birthday on September 28.) and I realized that there was this song. Not my favourite Lata number but her singing, the lyrics, plus Smita Patil’s acting means that this is my pick for this week. I can never hear this song without seeing Smita Patil’s honest, pained, tear-filled gaze. ~ R

Comments