Naam gum jaayega

Naam gum jaayega, chehra yeh badal jaayega
Meri awaaz hi pehchaan hain, gar yaad rahein
Naam gum jaayega, chehra yeh badal jaayega
Meri awaaz hi pehchaan hain, gar yaad rahein

Waqt ke sitam kam haseen nahin,
Aaj hain yahaan, kal kahin nahin
Waqt se parey agar mil gaye kahin,
Meri awaaz hi pehchaan hain, gar yaad rahein

O, naam gum jaayega, chehra yeh badal jaayega
Meri awaaz hi pehchaan hain, gar yaad rahein

Jo guzar gayi, kal ki baat thi,
Umrr toh nahin ek raat ki,
Raat ka sira agar phir mile kahin,
Meri awaaz hi pehchaan hain, gar yaad rahein

Ho, naam gum jaayega, chehra yeh badal jaayega
Meri awaaz hi pehchaan hain, gar yaad rahein

Din dhale jahaan, raat paas ho,
Zindagi ki lau oonchi kar chalo,
Yaad aaye gar kabhi, jee udaas ho
Meri awaaz hi pehchaan hain, gar yaad rahein

Naam gum jaayega, chehra yeh badal jaayega
Meri awaaz hi pehchaan hain, gar yaad rahein

Movie: Kinaara (1977)
Director: Gulzar
Singers: Lata Mangeshkar, Bhupinder
Lyricist: Gulzar
Music Composer: R D Burman


This is a movie Gulzar wrote the screenplay and lyrics for and directed. So, what better way to celebrate his birthday (August 18) than a song from this movie. When the lyrics speak for themselves, what more can I say? ‘Waqt se parey agar mil gaye kahin, meri awaaz hi pehchaan hain, gar yaad rahein…’ ~ R

Comments