Maana janab ne pukara nahin

Maana janaab ne pukaara nahin
Kya mera saath bhi ganwaara nahin
Muft mein ban ke, chal diye tan ke,
Wallah jawaab tumhaara nahin

Maana janaab ne pukaara nahin
Kya mera saath bhi ganwaara nahin
Muft mein ban ke, chal diye tan ke,
Wallah jawaab tumhaara nahin

Maana janaab ne pukaara nahin

Yaaron kaa chalan hai gulaami
Detein hain haseenon ko salaami
Yaaron kaa chalan hai gulaami
Detein hain haseenon ko salaami
Gussa na keejiye jaane bhi deejiye
Bandagi toh bandagi toh leejiye saahab

Maana janaab ne pukaara nahin
Kya mera saath bhi ganwaara nahin
Mufta mein ban ke, chal diye tan ke,
Wallah jawaab tumhaara nahin

Maana janaab ne pukaara nahin

Toota phoota dil ye humaara,
Jaisa bhi hai ab hai tumhaara
Toota phoota dil ye humaara,
Jaisa bhi hai ab hai tumhaara
Idhar dekhiye, nazar pheriye
Dillagi na dillagi na keejiye saahab

Maana janaab ne pukaara nahin
Kya mera saath bhi ganwaara nahin
Mufta mein ban ke, chal diye tan ke,
Wallah jawaab tumhaara nahin

Maana janaab ne pukaara nahin

Maasha allaah kehna toh maana
Ban gaya bigda zamaana
Maasha allaah kehna toh maana
Ban gaya bigda zamaana
Tumko hansa diya, pyaar sikha diya
Tumko hansa diya, pyaar sikha diya
Shukriya toh shukriya toh keejiye saahab

Maana janaab ne pukaara nahin
Kya mera saath bhi ganwaara nahin
Mufta mein ban ke, chal diye tan ke,
Wallah jawaab tumhaara nahin

Wallah jawaab tumhaara nahin haaye
Wallah jawaab tumhaara nahin

Movie: Paying guest (1957)
Director: Subodh Mukherjee
Singer: Kishore Kumar
Lyricist: Majrooh Sultanpuri
Music Composer: S D Burman


This song epitomizes innocent flirting. That I like Dev Anand (in his younger days), Nutan and Kishore Kumar surely influenced this choice. Also, even I can sing this song! ~ S

Comments