Itna na mujhse tu pyaar badha

Itna na mujhse tu pyaar badha
Ki main ek badal aawara...

Itna na mujhse tu pyaar badha
Ki main ek badal aawara
Kaise kisi ka sahara banoon
Ki main khudh beghar bechara

Isliye tujhse main pyaar karoon
Ki tu ek badal aawara
Janam janam se hoon saath tere
Hai naam mera jal ki dhara

Itna na mujhse tu pyaar badha
Ki main ek badal aawara
Janam janam se hoon saath tere
Hai naam mera jal ki dhara

Mujhe ek jagah aaraam nahin
Ruk jaana mera kaam nahin
Mujhe ek jagah aaraam nahin
Ruk jaana mera kaam nahin
Mera saath kahan tak dogi tum
Main desh bidesh ka banjara

Itna na mujhse tu pyaar badha
Ki main ek badal aawara
Kaise kisi ka sahara banoon
Ki main khudh beghar bechara

Isliye tujhse main pyaar karoon
Ki tu ek badal aawara
Janam janam se hoon saath tere
Hai naam mera jal ki dhara

O neel gagan ke deewane
Tu pyaar na mera pehchane
O neel gagan ke deewane
Tu pyaar na mera pehchane
Main tab tak saath chaloon tere
Jab tak na kahe tu main haara

Isliye tujhse main pyaar karoon
Ki tu ek badal aawara
Janam janam se hoon saath tere
Hai naam mera jal ki dhara

Itna na mujhse tu pyaar badha
Ki main ek badal aawara
Kaise kisi ka sahara banoon
Ki main khudh beghar bechara

Kyun pyaar main tu nadaan bane?
Ek paagal ka armaan bane?
Kyun pyaar main tu nadaan bane?
Ek paagal ka armaan bane?
Ab laut ke jaana mushkil hai
Maine chhod diya hai jag sara

Itna na mujhse tu pyaar badha
Ki main ek badal aawara
Janam janam se hoon saath tere
Hai naam mera jal ki dhara

Movie: Chhaya (1961)
Director: Hrishikesh Mukherjee
Singers: Talat Mehmood, Lata Mangeshkar
Lyricist: Rajinder Krishan
Music Composer: Salil Chowdhury



I know I am repeating myself, but this is another song I like because of the lyrics. The tune is an adaptation of Mozart’s Symphony No. 40; however, I appreciate how the lyrics matches it. Sunil Dutt is a favourite. Talat Mehmood and Lata Mangeshkar are brilliant in this song. There’s also a sad version of this, sung by Talat. ~ S

Comments