Khaamosh hai kewanhaar mera 

Khaamosh hai kewanhaar mera
Naiyya meri doobi jaati hai
Khaamosh hai kewanhaar mera
Khaamosh hai kewanhaar mera
Naiyya meri doobi jaati hai
Naiyya meri doobi jaati hai

Zinda hoon magar ab jeene ki
Ummeed bhi tooti jaati hai
Khaamosh hai kewanhaar mera
Saahil ki tamannah thi mujhko
Mmajhdhaar mein beda ja pahuncha
Jeene ki duvaayen kya maangoon
Paani toh galey tak aa pahuncha
Dil dhoondh raha hai duniya ko
Duniya hai ke chhooti jaati hai
Naiyya meri doobi jaati hai
Khaamosh hai kewanhaar mera

Gham apna zubaan tak laa na sakoon
Sansaar ko munh dikhla na sakoon
Ghuttha hai jo dam, rukte hain kadam
Badhte hain kadam, rukte hain kadam
Ghuttha hai jo dam, rukte hain kadam
Manzil ki taraf bhi jaa na sakoon
Bhatka huva raahi jaan ke ab
Taqdeer bhi roothhi jaati hai
Naiyya meri doobi jaati hai
Khaamosh hai kewanhaar mera

Charnon mein hai tere laaj meri
Sun aaj zara fariyaad meri
Tu door nahin, majboor nahin
Nagari hai magar barbaad meri
Kya yoon hi ghareebon ki duniya
Sansaar mein looti jaati hai
Zinda hoon magar ab jeene ki
Uummeed bhi tooti jaati hai
Khaamosh hai kewanhaar mera

Movie: Amar (1954)
Director: Mehboob Khan
Singer: Lata Mangeshkar
Lyricist: Shakeel Badayuni
Composer: Naushad


A 1954 film, where the rapist is the hero (Dilip Kumar). If you wish to know more about the plot, check here or here.
Rape. Its aftermath. The rape victim (Nimmi) sings this song. I chose it because of the lyrics, the soulful rendering  and the brilliant acting (by Nimmi) in it. ~ S

Comments