Ishaaron ishaaron mein dil lene waale

Ishaaron ishaaron mein dil lene waale
Bataa ye hunar tune seekha kahaan se
Nigaahon nigaahon mein jaadu chalaana
Meri jaan seekha hai tumne jahaan se

Mere dil ko tum bha gaye
Meri kya thi is mein khata
Mujhe jisne tadpa diya
Yahi thi woh zaalim ada
Yahi thi woh zaalim ada
Ye raanja ki baatein ye majnu ke kisse
Alag toh nahin hain meri daastan se

Ishaaron ishaaron mein dil lene waale
Bataa ye hunar tune seekha kahaan se

Oh mohabbat jo karte hain woh
Mohabbat jataate nahi
Dhadkane apni dil ki kabhi
Kisi ko sunaate nahin
Kisi ko sunaate nahin
Mazaa kya rahaa jabke
Khud kar diyaa ho
Mohabbat kaa izahaar apne zubaan se

Nigaahon nigaahon mein jaadu chalaana
Meri jaan seekha hain tum ne kahaan se

O maana ke jaan-e-jahaan
Laakhon mein tum ek ho
Humaari ki nigaahon ki bhi
Kuchh toh magar daad do
Kuchh toh magar daad do
Bahaaron ko bhi naaz jis phool par tha
Wahi phool hum ne chuna gulasitaan se

Ishaaron ishaaron mein dil lene waale
Bataa ye hunar tune seekha kahaan se
Nigaahon nigaahon mein jaadu chalaana
Meri jaan seekha hain tum ne jahaan se
Bataa ye hunar tune seekha kahaan se
Meri jaan seekha hain tum ne jahaan se
Bataa ye hunar tune seekha kahaan se
Meri jaan seekha hain tum ne jahaan se

Movie: Kashmir Ki Kali (1964)

Director: Shakti Samanta

Singers: Asha Bhosle, Mohammed Rafi

Lyricist: S H Bihari

Music Composer: OP Nayyar



Is this the only lovely song in the film? No. Is this the most melodious? Probably not. Just as in the case of so many of my earlier choices, the lyrics of this song are wonderful. However, that is not why I chose it. I just can’t get over how pretty and innocent Sharmila Tagore looks and how captivated Shammi Kapoor appears (despite his odd gyrations) in this song. ~ S

Comments