Main pal do pal ka shaayar hoon

Kal nayi kople futengi kal naye phool muskayenge
Aur nayi ghaans ke naye farsh par naye paav ithlayenge
Wo mere bich nahin aaye, Wo mere bich nahin aaye,
Main unke bich mein kyun aaon
Unki subah aur shaamon ka
Unki subah aur shaamon ka main ek bhi lamha kyon paaun
Main pal do pal ka shaayar hoon, pal do pal meri kahaani hain
Pal do pal meri hasti hain, pal do pal meri jawaani hain

Main pal do pal ka shaayar hoon, pal do pal meri kahaani hain
Pal do pal meri hasti hain, pal do pal meri jawaani hain

Mujhse pehle kitne shaayar, aaye aur aakar chale gaye
Kuchh aahen bhar kar laut gaye, kuchh nagmen ga kar chale gaye
Woh bhi ek pal ka kissa the, main bhi ek pal ka kissa hoon
Kal tum se juda ho jaunga, woh aaj tumhara hissa hoon

Main pal do pal ka shaayar hoon, pal do pal meri kahaani hain

Kal aur ayenge nagmon ki khilti kaliyaan chunnewaale
Mujhse behtar kahnewaale, tumse behtar sunnewaale
Kal koi mujhko yaad kare, kyun koi mujhko yaad kare
Masruf zamana mere liye, kyun waqt apna barbaad kare

Main pal do pal ka shaayar hoon

Movie: Kabhie Kabhie (1976)

Director: Yash Chopra

Singer: Mukesh

Lyricist: Sahir Ludhianvi

Music Composer: Khayyam


This movie won Khayyam a Filmfare for best music. The music is lovely but the poetry more so, which is probably why Sahir Ludhianvi snagged best lyricist too. This is another repeat listen and a perfect song, in my opinion, to commemorate Khayyam’s birthday, which is today. ~ R

Comments