Aaj in nazaaron ko tum dekho

Sunayana sunayana
Sunayana sunayana
Aaj in nazaaron ko tum dekho
Aaj in nazaaron ko tum dekho
Aur mai tumhe dekhte huve dekhoon
Mai bas tumhe dekhte huve dekhoon
Aaj in nazaaron ko tum dekho
Aaj in nazaaron ko tum dekho
Aur mai tumhe dekhte huve dekhoon
Mai bas tumhe dekhte huve dekhoon

Pyaari hai phoolon ki pankhudiyaan
Par teri palko se pyaari kahan
Phoolon ki khushboo se ki dosti
Ki inke ragon se yaari kahan
Sunayana sunayana
Aaj khile phoolon ko tum dekho
Aaj khile phoolon ko tum dekho
Aur mai tumhe dekhte huve dekhoon
Mai bas tumhe dekhte huve dekhoon

Oonche mahal ke jharokhon se tum
Ambar ki shobhaa nihaaro zaraa
Rangon se rangon kaa ye mel joh
Aankho se man me utaaro zaraa
Sunayana sunayana dur
Door aasmano ko tum dekho
Door aasmano ko tum dekho
Aur mai tumhe dekhte huve dekhoon
Mai bas tumhe dekhte huve dekhoon

Lo din dhalaa raat hone lagi
Taaro ki duniyaa mein kho jaao tum
Mai jaag kar tumko dekhaa karoon
So jaao tum thoda so jaao tum
Sunayana sunayana
Aaj meethe sapno ko tum dekho
Aaj meethe sapno ko tum dekho
Aur mai tumhe dekhte huve dekhoon
Mai bas tumhe dekhte huve dekhoon

Movie: Sunayana (1979)

Director: Hiren Nag

Singer: Yesudas

Lyricist: Ravindra Jain

Music Composer: Ravindra Jain


I still remember the first time I heard this song—on a summer afternoon around 35 years ago. Although I didn’t understand Hindi well at the time, I liked the song. 

Over the years, I have marvelled at how Ravindra Jain, who was born blind, has crafted the lyrics around 'dekhna' to suit the film's title ‘Sunayana’ and given it such a melodious tune.

I saw the video only while trying to post it here and was quite surprised to see Naseeruddin Shah lip-syncing it! Dubious pleasure?!  ~ S

Comments