Hum the jinke sahare

Hum the jinke sahare, woh huye na hamare
Doobi jab dil ki naiya, saamne the kinare
Hum the jinke sahare, woh huye na hamare
Doobi jab dil ki naiya, saamne the kinare
Hum the jinke sahare

Kya mohabbat ke vaade, kya wafaa ke iraade
Reth ki hain deewarein, jo bhi chaahe gira de
Jo bhi chaahe gira de
Hum the jinke sahare, woh huye na hamare

Hain sabhi kuchh jahan mein, dosti hain, wafaa hain
Apni yeh kam naseebi, humko na kuch bhi mila hain
Humko na kuch bhi mila hain
Hum the jinke sahare, woh huye na hamare

Yun toh duniya basegi, tanhaai phir bhi dasegi
Jo zindagi mein kami thi, woh kami to rahegi
Woh kami to rahegi
Hum the jinke sahare, woh huye na hamare
Doobi jab dil ki naiya, saamne the kinare
Hum the jinke sahare

Movie: Safar (1970)

Director: Asit Sen

Singers: Lata Mangeshkar

Lyricist: Indeevar

Music Composer: Kalyanji Anandji



This is one of those sad songs that I could happily hum all day long. The lyrics are lovely, deep and yet simple. The music seems to fit the lyrics like a glove. And this is one of those Lata Mangeshkar numbers that makes my Asha-fan heart wobble a little. Another perennial favourite! ~ R


Comments