Aap ke haseen rukh pe

Aap ke haseen rukh pe aaj naya noor hain
Mera dil machhal gaya toh mera kya kasoor hain

Aap ki nigah ne kaha toh kuch jaroor hain
Mera dil machal gaya toh mera kya kasoor hain

Khuli laton ki chhav mein khila khila ye roop hain

Ghata se jaise chhan rahi subah subah ki dhoop hain
Jidhar nazar mudi, jidhar nazar mudi
Jidhar nazar mudi udhar suroor hi suroor hain
Mera dil machhal gaya toh mera kya kasoor hain

Aap ke haseen rukh pe aaj naya noor hain
Mera dil machhal gaya toh mera kya kasoor hain

Jhuki jhuki nigah mein bhi hain bala ki shokhiyan

Dabi dabi hasee mein bhi tadap rahi hain bijliyan
Shabab aap ka, shabab aap ka
Shabab aap ka nashe me khud hi choor choor hain
Mera dil machhal gaya toh mera kya kasoor hain

Aap ki nigah ne kaha toh kuch jaroor hain
Mera dil machhal gaya toh mera kya kasoor hain

Jahan jahan pade kadam wahan fiza badal gayi

Ke jaise sarbasar bahar aap hi mein dhal gayi
Kisi mein ye kashish, kisi mein ye kashish
Kisi mein ye kashish kahan jo aap me huzoor hain
Mera dil machhal gaya toh mera kya kasoor hain

Aap ke haseen rukh pe aaj naya noor hain
Mera dil machhal gaya toh mera kya kasoor hain
Aap ki nigah ne kaha toh kuch jaroor hain
Mera dil machal gaya toh mera kya kasoor hain

Movie: Baharen Phir Bhi Aayengi (1966)

Director: Shaheed Latif

Singer: Mohammad Rafi

Lyricist: Anjaan

Music Composer: OP Nayyar

I only heard this twice to get the lyrics right, and I am blushing. I usually love OP Nayyar’s music but in this one, Mohammad Rafi seized all my attention. When he sings “Aap ki nigah ne kaha toh kuch jaroor hain” like a whispered secret or “Shabab aap ka nashe me khud hi choor choor hain” like an intoxicated complaint, wow, I want to fall in love! No wonder, his fans and fan clubs still thrive. The black and white picturisation, with close-ups of gently blushing Tanuja and Mala Sinha and their long-lashed eyes… perfect for the lyrics. I think I might go off and listen to this once more. Sigh! ~ R

Comments