Yaad mein teri jaag jaagke hum

Yaad mein teri jaag jaagke hum
Raat bhar karvatein badalte hai
Har ghadi dil me teri ulfat ke
Dheeme dheeme chiraag jalte hai

Jabse tune nigaah pheri hai
Din hai sunaa toh raat andheri hai
Chaand bhi ab nazar nahi aata
Ab sitaare bhi kam nikalte hai

Yaad mein teri jaag jaagke hum
Raat bhar karvatein badalte hai

Lut gayi woh bahaar ki mehfil
Chhut gayi humse pyaar ki manzil
Zindagi ki udaas raahon mein
Teri yaadon ke sath chalte hai

Yaad mein teri jaag jaagke hum
Raat bhar karvatein badalte hai

Tujhko paakar hume bahaar mili
Tujhse chhutkar magar ye baat khuli
Baagbaan hi chaman ke phoolon ko
Apane pairo se khud masalte hai

Yaad mein teri jaag jaagke hum
Raat bhar karvatein badalte hai

Kya kahe tujhse kyu hui doori
Hum samajhte hai apni majboori
Tujhko maalum kya ke tere liye
Dil ke gam aansuo mein dhalte hai

Yaad me teri jaag jaagke hum
Raat bhar karvatein badalte hai
Har ghadi dil me teri ulfat ke
Dheeme dheeme chiraag jalte hai

Movie: Mere Mehboob (1963)

Director: Harnam Singh Rawail

Singers: Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi

Lyricist: Shakeel Badayuni

Music Composer: Naushad Ali



There are several wonderful songs in this film, and I love all of them. However, this is quite haunting. The singers, especially Mohammed Rafi, has sung it so dolefully that when I listen to it, it sucks the joy and hope out of me. That is no mean feat! ~ S

Comments