Khoya khoya chand

Oh…
Khoya khoya chaand, khula aasmaan
Aankhon mein saari raat jaayegi
Tumko bhi kaise neend aayegi
Oh… khoya khoya chaand, khula aasmaan
Aankhon mein saari raat jaayegi
Tumko bhi kaise neend aayegi

Oh… khoya khoya chaand

Masti bhari hawa jo chali
Masti bhari hawa jo chali
Khil khil gayi, ye dil ki kali
Mann ki gali mein hain khalbali
Ke unko toh bulaao

Oh… khoya khoya chaand, khula aasmaan
Aankhon mein saari raat jaayegi
Tumko bhi kaise neend aayegi
Oh… khoya khoya chaand

Taare chale, nazaare chale
Taare chale, nazaare chale
Sang sang mere woh saare chale
Chaaron taraf ishaare chale
Kisi ke toh ho jaao

Oh… khoya khoya chaand, khula aasmaan
Aankhon mein saari raat jaayegi
Tumko bhi kaise neend aayegi
Oh… khoya khoya chaand
Oh…

Aisi hi raat, bheegi si raat
Aisi hi raat, bheegi si raat
Haathon mein haath hote woh saath
Keh lete unse dil ki ye baat
Ab toh na sataao

Oh… khoya khoya chaand, khula aasmaan
Aankhon mein saari raat jaayegi
Tumko bhi kaise neend aayegi
Oh… khoya khoya chaand

Hum mit chale jinke liye
Hum mit chale hain jinke liye
Bin kuch kahe woh chup chup rahe
Koi zara ye unse kahe
Na aise aazmaao

Oh… khoya khoya chaand, khula aasmaan
Aankhon mein saari raat jaayegi
Tumko bhi kaise neend aayegi
Oh… khoya khoya chaand, khoya khoya chaand…


Movie: Kala Bazaar (1960)

Director: Vijay Anand

Singer: Mohammed Rafi

Lyricist: Shailendra

Music Composer: S. D. Burman



A young Waheeda Rehman smiling widely, the adorably floppy-limbed Dev Anand and an intoxicating Mohammad Rafi. Anything I add here will only mar the charm of this. Enjoy! ~ R

Comments