Ajeeb daastaan hain ye

Ajeeb daastaan hain ye
Kahan shuru kahan khatam
Ye manzilein hain kaunsi
Na woh samajh sakey na hum

Ajeeb daastaan hain ye
Kahan shuru kahan khatam
Ye manzilein hain kaunsi
Na woh samajh sakey na hum

Ye roshni ke saath kyun
Dhua utha chiraag se
Ye roshni ke saath kyun
Dhua utha chiraag se
Ye khwaab dekhti hoon main
Ke jag padi hoon khwaab se

Ajeeb daastaan hain ye
Kahan shuru kahan khatam
Ye manzilein hain kaunsi
Na woh samajh sakey na hum

Mubaarakein tumhe ke tum
Kissi ke noor ho gaye
Mubaarakein tumhe ke tum
Kisi ke noor ho gaye
Kisi ke itne paas ho
Ke sab se door ho gaye

Ajeeb daastaan hain ye
Kahan shuru kahan khatam
Ye manzilein hain kaunsi
Na woh samajh sakey na hum

Kisi ka pyaar leke tum
Naya jahan basaaoge
Kisi ka pyaar leke tum
Naya jahan basaaoge
Ye shaam jab bhi aayegi
Tum humko yaad aaoge

Ajeeb daastaan hain ye
Kahan shuru kahan khatam
Ye manzilein hain kaunsi
Na woh samajh sakey na hum


Movie: Dil Apna Aur Preet Parai (1960)

Director: Kishore Sahu

Singers: Lata Mangeshkar

Lyricist: Shailendra

Music Composer: Shankar Jaikishan



Shankar Jaikishan came up with this amazingly peppy track for a sad song. I guess it makes sense, seeing as it is a celebration of a wedding. The lyrics are so simple yet beautiful. There is such a gentle confusion and a sense of loss for something intangible that was never hers to begin with…

After avowing that I am no fan, this is the second consecutive Lata Mangeshkar song I am featuring here. I guess, the beauty of the voice, especially in some of her early songs, is inescapable. ~ R

Comments